Hello, Reader kayi logo ke sath ye
problem ho jati hai ki unka jo voting card hai uspar name, address ke spelling
me ya pura name address hi galat aa jata hai. Tabhi hum sochate hai ki isko
change ya update kaise kiya jaye. To aaj hum yahi dekhenge ki “how to
change, correct name, address in voting card?”
Ye kam hum apne ghar baithe kar
sakate hai uske liye sirf aapko niche di gayi step ko follow karana hoga.
Online hum kya kya
change kar sakate hai?
Name
Date of birth
Father’s/Mother’s/Husband’s Name
Address
Photo
Email Id,
Mobile Number
Name, Address, Date of Birth Kaise Change Kare:
Step 1:
http://www.nvsp.in
Yaha se National Voter’s Services portal par chale jaye.
Step 2:
Niche correction of entries in electoral
roll par click kare.
Step 3:
Ab aapko waha par 5 forms dikhayi
denge.
i) Form 6: Agar aap new
voting card banawana chahate hai to aapko ye form fill karana hoga.
ii) Form 6A: Kisi parvasi
ka naam voting list me shamil karane ke liye ye form
iii) Form 7: Agar aapko koi
objection ho ya list me se naam hatana hai to ye form fill karana hai.
iv) Form 8: Name, address, DOB,
ya kisi bhi information ko change karane ke liye ye form fill karna hai.
v) Form 8A: List se name ko
transfer (Transposition) Karane ke liye.
Step 4:
Isme se hume form 8 ko
select karana hai.
Step 5:
Form 8 thik se fill kare form 8
fill karate waqt aapka purana voting card aapke pass hona jaruri hai. Form 8
fill karane ke liye aapko niche di gayi information ki jarurat padegi.
Part Number of Electoral Roll: (voting
list hai usme part number hota hai)
Part number aapko purane voting
card par piche ki taraf dikhayi dega.
Serial Number In the Part: (Us Bhag
me Serial Number hota hai)
Serial number bhi aapko aapke
voting card ke piche ki taraf mil jayega.
Agar aapke pass purana voting card
nahi hai to aap apni details online yaha se check kar sakate hai aur waha pe aapko part,
serial number mil jayega.
Step 6:
Form 8 ko thik se fill karane ke
bad aapko uske sath kuch document bhi upload karane hai aur wo document hai.
1. Your Photograph: Aapka photo
2. Identity Proof: Iske liye aap
apna Aadhaar card de sakate hai.
3. Address Proof: Iske liye aap
electricity bill, phone bill, ration card inme se ek ki copy upload kar sakate
hai.
Form 8 ko thik se fill karake ek
baar dobara se sabhi Jankari read kare aur submit kar de.
Ab aapki correction request successfully
submit ho gayi hai. Aap apni request ko online bhi track kar sakate hai.
Note: Agar aap kuch galat
information upload karate hai to ye ek prakar ka crime hai aap ye tip site par
bhi niche read kar sakate hai.
Some FAQ’S:
1. Kya correction sirf online kar
sakate hai?
- nahi, aap chaho to correction
offline bhi karawa sakate hai iske liye aapko aapke nazdiki boot level office
me jakar karawa sakate hai.
2. Correction ke bad new voting
card kaha milega?
- Correction request send karane
ke bad 25-30 ke bad aapko apne nazdiki election office me jakar aapko apna
voting card lena hgoa.
Iske alawa koi sawal ho to comment
me humse puch sakate hai.
0 Comments: