Voter ID card India me bahut hi
important document hota hai. India me Voting card ka upyog identification ke
liye hota hai, aur Voting ke liye. Hum iska use kisi bhi government office me
identity ke liye kar sakate hai.
Aap apna voting id card ki details
online check kar sakate hai aur sath me download bhi kar sakate hai.
Iske liye already government ki
website available hai, jaha par jake hum apna voting card details check kar
sakate hai. Agar aap chaho to voting card download bhi kar sakate hai.
Voting Card details Kaise Check Kare:
Step 1:
Sabse pahale aap yaha se website
par chlae jaye.
Step 2:
Waha par aapko 2 tabs show hogi.
Yaha par hum apni details check kar sakate hai. 2 options me se kisi bhi 1
options se hum details check kar sakate hai.
Option 1:
Search by Details:
Yaha par hume apni puri details
deni hoti hai.
नाम / Name - Apna Pura Dale
पिता / पति का नाम (Father’s/Husband’s
Name) – Apne pita ka naam dale/ Aur agar kisi female ka voting id card search
kar rahe hai to uske Pati ka Name dale
उम्र / Age – Apni
Age yaha dale.
जन्म तिथि/DoB – Apni
date of birth yaha dale
लिंग/Gender
– Male ya Female Dale
राज्य/State – Apna
Rajya Dale
जिला/District –
Yaha pe district Dale
विधानसभा निर्वाचन क्षेत्र /
Assembly
Constituency- Apne Vidhasabha ka Name Yaha Dale.
कोड/ Code : yaha par jo image me text diya hai wahi dale.
Niche Search
Button Par click karde.
Ab thodi der
tak wait kare. Aapke name ki tarah jinke same name hai wo bhi aapko list me
show honge lekin inme se aapka jo name aur details hai uske samane details par
click kare.
Aapke voting
card ki puri details aapko show hogi. Chaho to aap isko Print bhi kar sakate
hai.
Option 2:
Search By
EPIC No.
EPIC NO: EPIC
No kya hota hai? EPIC number yane ek Unique number hota hai jo humare voter id
card par hota hai, Jaise humara Aadhaar card number hota hai.
Ye Number
humare voting card par hota hai.
Example:
EPIC No Kuch
is tarah ka hota hai : MLT125789
Search by
EPIC No is tab par click karane ke bad aapko waha
EPIC No: Me
apan voting card ka number dalana hai
State: Yaha
par apna state select karana hai.
Code: Jo text
diya hai usko Captcha box me dalkar Search par click karana hai.
Agar aapke
voting card details available hai to aapko aapki details waha par show hogi.
Waha se aap details dekh sakate hai aur chaahe to usko download karake print
bhi nikal sakate hai.
Is tarah diye
hue 2 options ka use karake hum apne voting card details check kar sakate hai
aur sath me usko download bhi kar sakate hai.
Aapko di gayi
kisi step me koi problem ho to aap humse comment me puch sakate hai.
Post acchi
lagi ho to apne friends ke sath share jarur kare.
0 Comments: