Whatsapp Group Invite Link Kaise Create Kare

Whatsapp group ke liye invite link kasie banayi jati hai ye is tutorial me janate hai.
Whatsapp ek behatarin aap hai jisse hum apne dosto ke sath bahut acchi information, images, documents share kar sakate hai.

Whatsapp Group Invite Link Kaise Create Kare

Agar aap whatsapp group banana chahate hai aur usme kayi sare log ek sath add karana chahate hai, wo bhi web se yane facebook, gmail etc se to uske liye aapko group ki link create karani padati hai.



Is link ki help se koi bhi user group ko directly join kar sakata hai. Isse admin ko manually ek ek contact ho add karane ki koi jarurat nahi hai.

Ye feature humare official whatsapp application me hume diya gaya hai, jisse hum group ke liye link bana sakate hai, uske liye aapko niche di gayi step follow karani padegi.



Whatsapp Group Invite Link Ke (Advantages) Fayade:

1. Iske new user ko add karane ke liye uska contact humare mobile me save karane ki koi jarurat nahi hai, jisse humara kafi time save hota hai.

2. Koi bhi isko easily aur kahi se bhi join kar sakata hai.

3. Koi bhi add ho sakata hai, isko admin ke permission ki koi jarurat nahi hai.



Ye ho gaye fayade lekin iske kuch disadvantages bhi hai ki jis kisi ke pass humari group link chali jayegi to koi bhi is group me join ho sakta hai.

Whatsapp Group Invite Link Kaise Create Kare

Step 1:
Sabse first aapko jis group ki link create karani hai wo group open kare.  Aur side me jo 3 dots hai uspar click kare.

3 Dots par click kare


Step 2:
Group Info par click karde.



Step 3:
Niche Add participate par click kare.

Add Member


Step 4:
Jaise hi hum add participate par click karate hai waha hume Invite to group via link ka option show hoga uspar click karde.


Invite to group via link



Step 5:
Click karane ke bad humare whatsapp group ki ek unique link create ho jayegi jo kuch is tarah se dikhayi degi
https://chat.whatsapp.com/fasJDSus1JF47FJD
Uske niche option honge
copy link


Send Link via Whatsapp : Yaha se aap apne friends ko group ki link whatsapp par bhej sakate hai.

Copy Link: link copy karake aap facebook mails me send kar sakate hai.
Ab jisko bhi aapke group me shamil hona hai wo is link par click karake join ho sakata hai.


Simple 5 steps me hum apne whatsapp group ke liye invite link bana sakate hai, jisse hume ek ek user ko manually add karane ki jarurat nahi padati hai.

Note: Whatsapp group me aap maximum (Jayada se Jayda) 256 user hi add kar sakate hai.

Agar aapko ye post acchi lagi ho to apne dosto ke sath facebook, whatsapp par jarur share kare.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: