Whatsapp Ne haal hi me February 2017
me updates diya hai jisme hume status ka naya feature dekhane ko milega.
Agar aapne abhi tak apna whatsapp
update nahi kiya hai to isko turant update karle taki aap bhi in naye features
ka aanand utha sake. Aaj is post me hum yahi janane wale hai ki whatsapp ke
latest updates me hume kya kya new features diye gaye hai.
Whatsapp Status Feature Kya Hai?
Hum purane updates me status me
sirf text status likh sakate the, lekin ab naye updates me hum photos, gif,
video ko status ke taur par rakh sakate hai aur apne dosto ko share kar sakate
hai.
Status feature me ab aapko privacy
ka feature bhi diya gaya hai ki aap apna status kin logo ko show karana chahate
hai, aap iske jariye only apne contacts ko status show kar sakate hai ya phir publicly
yane koi bhi aapka status dekh sakata hai. 24 hours ke bad ye automatically
disappear ho jayega.
Whatsapp ka ye feature same snapchat
ki tarah hi hai.
New Updates Me Kya Milega Naya:
Iski ke sath aur bhi new updates
whatsapp ne jari kiye hai. Updates karane ke bad aapko waha par 4 tabs show
hogi.
1. Camera
2. Chat
3. Status
4. Call
1. Camera : ye new
feature add kiya gaya hai ab aap apne dosto ko photos, gif share karana chahte
hai to direct camera ke icon par click karake photo add kar sakate hai.
Sath me is photo par aap alag alag
emoji add kar sakate hai , image par text add kar sakate hai. Ye new updates
hume isme dekhane ko milenge.
2. Chat: Chat wale
option me koi badlaw nahi hua hai.
3. Status:
Status updates karane ke liye
aapko is tab par click karana hoga waha par My Status me click karake niche jo
Whatsapp ka icon hai uspar click karane ke bad gallery me se aapko jo bhi
image, gif add karani hai wo add karle.
Ab status ko apne dosto ke sath share
kar sakate hai aur waha se check bhi kar sakate hai ki aapka status kisane
dekha hai aapko kisane reply diya hai.
4. Calls: is
option me bhi koi change nahi hua hai.
Aap whatsapp ko alag alag parkar
se update kar sakate hai lekin mai play store se update karane ki method bata
raha hu.
Step 1:
Google play store ko open kare aur
usme whatsapp ko search kare.
Step 2:
First wale aaps yane jispar
installed dikhayi de raha hai upsar click kare. Ab aapko update ka option show
hoga, uspar click kare.
Step 3:
Whatsapp updates start ho jayega.
Usko download karle aur mobile ko restart karle.
Ab aapka whatsapp latest updates
aur new features ke sath ready hai. Ab apna new status upload karle aur friends
ke sath share kare.
0 Comments: