Reliance Jio Prime Membership Rs.99 Kaise Activate Kare

Reliance Jio ka Prime Membership Rs.99 Wala Offer My Jio App ya Website Se Kaise activate kiya jata hai iske bare me is post me bat karenge.

Activate Jio Prime Membership

Hello Dosto hum sabko pata hai ki reliance jio ne haal hi me prime membership ke bare me announcement ki hai. Jiski details aapko yaha par mil jayegi jo maine iske pahale wali post me di hai.


JIO Prime membership activation 1 March 2017 se start ho chuka hai, iske liye hum 1 march – 31 march 2017 is date ke under Rs.99 ka recharge karana hai tabhi hum prime member ban jayenge.

Ye offer hum My JIO App ya phir Jio ki website se activate karana hoga jiske liye aapko niche di gayi step follow karani hai.

How to activate Jio Prime Offer:

Using My JIO App:

1. Mobile se My JIO aap ko open karle. Agar aapko update ke liye pucha jaye to ek baar app ko update kare.

2. Sign in with SIM par click kare.

Sign in with sim


3. Uske bad aapke samane Recharge option hoga par click kare.
( Ya phir aap sing in karane ke bad aapko ek pop up show hoga usme Get jio prime par click karana hai.)
get jio prime


OR:
Right side me jo option hai unpar click karde upar hi aapko Jio prime ka offer show hoga uspar click kare.
Right side option


4. Ab Jio Prime membership plan Rs.99 par click kare.
Click on 99


5. Next step me aapko Payment karani hai aap kis tarah payment karana chahte hai wo select kare usme aapko net banking, credit/debit card ka option show hoga.
Finally payment karake aapka jio prime membership offer activate ho jayega.
Payment Kare


Using Jio.com Website:

1. Yaha se JIO.Com website ko open kare.
2. Jio prime offer show hogi get jio prime par click kare.


Website


3. Uske bad apna jio number enter kare.

4. Payment karde. Aapka offer activate ho jayega.

Using JIO Store:

Agar aap jio my app ya phir website se offer activate nahi karana chahate hai to aap kisi bhi jio store par jake is offer ko activate kar sakate hai.
Uske liye jio store par jake aapko unko prime offer plan ka recharge karane ke liye bolana hoga aur unko recharge amount deni hai.
Is tarah aap diye kisi bhi way se apni jio prime membership offer activate kar sakate hai.

Some FAQ’S regarding JIO Prime Membership:

1. Rs.99 Ka recharge karane ke bad kya 303 ka recharge karana hoga?

Ans: Rs.99 recharge karane par aap prime member ban jawoge. Uske bad agar aap chaho to 303 ka monthly recharge kar sakate hai.

2. Kya Rs.303 Ka Monthly Recharge Compulsory Hai?
Ans: Nahi aapko jab recharge karana hai aap kar sakate hai.

3. Agar mai prime membership activate nahi karata hu to kya hoga?
Ans: To aapko reliance jio ke regular 4G plan use karane padegnge.

4. Prime membership kab tak activate kar sakate hai?
Ans : 1 march – 31 march 2017 ke bich me kabhi bhi activate kar sakate hai.
Iske alawa aapke man me agar koi sawal ho to aap niche comment me puch sakate hai.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. Member banane ke bad Kya 1 april ko ham 303 ya 149 ka recharge kar sakte hai ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Ajay,
      Prime ka recharge karane ke bad aap kabhi bhi Rs.303 ya 149 ka recharge kar sakate hai.

      Delete
    2. Agar prime membership nhiii liye to voice call free hoga or app ya nhii

      Delete
    3. @ Kavya,

      Agar aap Primer membership nahi leti hai, Jio ke liye regular plan yane non-primer wale plan use kar sakati hai.

      Delete