IFSC Code Yane Indian Financial System Code. To kisi bhi bank ka IFSC code Kaise pata kiya jata hai iske bare me janenge.
IFSC Code Ki Jarurat Kya Hai?
IFSC code jo hota hai wo 11 digit
ka alphanumeric code hota hai. Ye code Reserve bank of India (RBI) sabhi banko
ke liye assign karati hai, IFSC code sabhi banko ke liye hota hai aur unique
hota hai.
IFSC ka use fund transfer karate
waqt hota hai, yane jab aap RTGS,NEFT ke through kisi ko paise transfer karate hai tab aapko us samane wale
waqti ke bank ka IFSC code pata hona jaruri hai.
Sabhi banko ke liye unka IFSC code
hota hai, to apne bank ka IFSC code kaise pata kiya jata hai, iske bare me hum
bat karenge.
IFSC Code Kaise Pata Kare:
Simple agar aapko apne bank ka
IFSC code chahiye to uske liye simple method hai, apne bank ka passbook open
kare. Us passbook par aapko apne bank ka IFSC code dikhayi dega.
Ya phir aap apne branch me jakar
bhi IFSC pata kar sakate hai.
Kisi Bhi Bank ka IFSC code Kaise Pata Kare:
Man lijiye ki aapki apne dost ko
internet banking se online paise transfer karane hai, lekin aapko uske bank ka
IFSC code pata nahi hai to yese me aap kya karenge.
Kyon ki online paise
transfer karane ke liye hume Account Number, Account Holder ka Name,
Bank Name aur IFSC code ki jarurat hoti hai. Kuch nahi uske liye bhi simple
steps follow kare.
Step 1:
Sabase pahale browser me ye https://bankifsccode.com/ open kare.
Step 2:
Website ko open karane ke bad ap
niche aapko
Select Bank Name: Yaha par aap
jis bank ka IFSC code chahate hai wo select kare.
State: Apni
state select kare.
District: Apna
District select kare.
Branch: Ab aapko
waha par bank name dikhayi dege usme se branch select kare.
Step 3:
Niche aapko us bank ki details ke
sath me IFSC code show hoga.
Is tarah simple method ko follow
karake hum kisi bhi bank ka IFSC code pata kar sakate hai.
0 Comments: