Bank में RTGS और NEFT क्या होता है ?


बैंक में rtgs और नेफ्त क्या होता है ? Hello, Dosto Mai aaj aapko bataunga ki jab hum bank me paise transfer karate hai tab RTGS aur NEFT kya hota hai. Hume agar kisi ko paise transfer karana chahate hai to aap inme se koi bhi ek method ka use kar sakate hai. Iske liye aapko ye samajana hoga ki NEFT Aur RTGS Kya hota hai, isme kya difference hai.

RTGS and NEFT kya Hai


RTGS And NEFT Kya Hota Hai?

RTGS aur NEFT ye do method hai India me ek bank se dusare bank me paise transfer karane ki. Ye methods India Ke Lagbag sabhi bank me available hai.



RTGS- Real Time Gross Settlement Kaha jata hai. RTGS paise transfer karane ke liye use hota hai. Iske liye aapko apne bank me jakar RTGS ka form fill up karana hota hai.
RTGS Ke Jariye aap kum se kum Rs.2 Lakhs aur maximum Rs.5 Lakhs tak transfer kar sakate hai.

NEFT- National Electronic Fund Transfer kaha jata hai. NEFT ka bhi use paise transfer karane ke liye kiya jata hai.
NEFT ke jariye hum Rs.1 se Lekar maximum Rs.5 Lakhs tak transfer kar sakate hai.



RTGS aur NEFT Ke Jariye Paise Transfer Kaise Kare?

Agar aap kisi ko paise transfer karana chahate hai to in 2 methods ka use kar sakate hai. Bank me jakar isme se koi ek form lekar fill up kar le. Aur bank me bhar de.
Beneficiary:
Beneficiary yane hum jise paise transfer karana chahate hai uska naam aur account number malum hona jaruri hai. Jis bank me paise transfer karana chahate hai us bank ka IFSC Code bhi hona jaruri hai.
Applicant:
Applicant yane khud hum hote hai. Isme bhi humko aapna name, account number ye sub malum hona jaruri hai.


RTGS & NEFT Ke Liye Time Aur Fess Kitni Lagati Hai?

RTGS Ke Jariye Hum Agar Paise Transfer karate hai to 2 ghante me apke paise transfer ho jate hai. RTGS hum kabhi bhi kar sakate hai sirf bank holidays chodkar.
RTGS Ke liye fees Rs.5-25 tak lag sakati hai wo depend karata hai aap kitna money transfer kar rahe hai.
NEFT ke jariye hum agar paise transfer karate hai to iske liye time settlement ki gayi hai. Iske liye bhi jayada se jayada 2 hours tak ka time lag sakata hai. NEFT Ke liye bhi fess Rs.5-50 tak lag sakati hai wo aapke transferring amount pe depend karata hai.




Transferring Fail Ho Jaye To?

Agar kisi wajah se aapke paise transfer nahi ho jata hai to fikar karane ki koi jarurat nahi hai. Aapke paise return aapke account me aajate hai.
Agar aap isse related aur Jankari chahate hai to sbi ki site pe jake check kar sakate hai.

Agar aapko iske bare me koi dikkat ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

6 comments:

  1. Sir may SBI ka net banking use Marta hu aur may koi other bank ka account add Marta hu to oh Sirf rtgs may hi so kar raha hai NEFT may nahi kar raha hai rtgs aur NEFT dono may so Karen Ke liye may kya karu

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Vijay,
      Uske liye aapko first beneficiary add karana hoga uske liye ye read karo.

      Delete
  2. Sir, Kya? Paisa transfer ke liye cheque book hona jaruri hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Brijesh,

      Nahi passbook jaruri nahi hai.

      Delete
  3. Sir jyada se jyada kitana samay lagta hai paisa transfar hone me rtgs ke thrue

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Rishavh,

      Banking hours me Maximum 3-4 hours me transfer ho jayega.

      Delete