Kya Hum bina internet ke tv dekh sakate Hai? Mobile me bina internet ke TV dekh sakate hai? Without internet TV dekhane ka koi app hai? is tarah ke lakho sawal aapke man me aate honge.
To in sab sawalo ke jawab hum
aapke liye lekar aaye hai, aaj ke is internet ke world me hum bina internet ke
koi chiz ke bare me soch nahi sakate hai. Lekin kayi baar kayi logo ke pass
internet majud nahi hota hai, yese me wo sochate hai ki kash me bina
internet ke mobile me tv dekh pata ! To ab aapki ye kwayish puri hone wali
hai uske liye aap is post ko last tak read kare.
Bina Internet Ke Live TV Kaise dekhe:
Aap Durdarshan (दुरदर्शन) ke bare me janate hi honge. Hum
apne TV par DD National, DD Bharati, DD News jaise jo channel dekhate hai wo
Durdarshan (yane DD) dwara prasarit kiye jate hai. To Durdarshan Apne Viewers
ke liye ek accha plan laya hai jis se hum bina internet connection ke apne
mobile par live tv dekh sakate hai.
Kaise Dekh Sakate Hai Free
Channels:
Durdarshan ki ye service free hai.
Lekin iske liye hume ek Dongle kharidana padega. Dongle Durdarshan ke jo signals
hai unko catch karega.
Filhaal ye Service India top 15
City me Hai, Jisme Jalandhar, Raipur, Indore, Delhi, Mumbai, Aurangabad, Cuttack,
Chennai, Guwahati, Patana, Ranchi, Lucknow, Bangalore, Bhopal Aur Ahmedabad.
DD Isko Jald hi baki ke city me
bhi lauch karega.
Kaise Work Karega:
Jaise hum Internet
Ki Help Live Tv Dekhane Ke Liye Hotstar, Ditto TV ka use karate hai usi prakar,
Durdarshan
ne analog signal ki help se on-the-go service launch ki hai. Aur is Technology
ko DVB T2 Yane Digital Video Broadcasting Terrestrial 2 Ka Naam diya hai. Jo ek
Digital video broadcasting device hai, hume sirf usko OTG supported mobile me
plug karana hai aur ho gaya humara kam.
Kaise Start Kare:
1. Iske liye
sabse pahale hume Google play store se Tv on Go Durdarshan
App
ko download karana padega.
2. Aur dusari jo chiz hai wo
dongle aur Wifi Device hume Flipkart ya phir Snapdeal se buy karani hogi.
Ye device third party ki hai,
isliye iski price bhi thodi jyada hai. Lekin Durdarshan jald hai apni khud ki
device launch kar dega.
Iske jariye aap bina internet ke
bhi jo DD ke channels hai jaise DD National, DD news, DD Bharati Ye channels
free me dekh payenge.
Bina Internet Ke TV
Kaise Dekhe Sawal aur Jawab:
1. Kya Bina internet ke TV dekhane
ke liye koi app hai.
- Nahi yesa koi app nahi hai jisse
hum bina internet ke tv dekh sake, only one way hai jo upar bataya gaya hai.
2. Kya DD ke channels dekhane ke
liye paise dene honge.
- Nahi ek baar aapne dongle buy
kar liya uske bad aap free me tv dekh sakate hai.
3. Internet ki help se koun se aap se tv dekh sakate hai.
Iske alawa bhi aapke man me koi
aur sawal ho to aap hum comment me puch sakate hai.
0 Comments: