OLA Cabs Kya hai, Ola Cabs ke sath Business kaise start kare, OLA Taxi ko book kaise kare.
OLA Cabs Kya hai?
Aap Logo me se kayi logo ne old
cabs ke bare me suna hoga. Old Cabs ek taxi service hai. Jisko koi bhi android
app se book kar sakata hai. Aur kuch hi minute me taxi customer ke diye hue
address par pahuch jati hai.
Hum apni city me kahi se bhi isko
book kar sakate hai. Aapko jis bhi jagah jana hai to aap ola cabs book kar ke
ja sakate hai.
Ola cabs ka main headquarter Bangalore
me hai aur sath me Delhi & Mumbai me bhi branches hai.
Ola Ke Sath Business Kaise Start Kare:
Agar aapke pass driving skill hai
aur commercial card hai to aap Ola ke sath business karake paise kama sakate
hai.
Ola cabs me aap apni Commercial car
ki madad se paise bhi kama sakate hai. Uske liye pahale hume apni Commercial Car
old cabs ke sath register karani padati hai.
Jab koi ola cabs app se aapki card
book karata hai to usse jo paise milate hai, usme ka kuch commission Ola rakh
leta hai aur baki ke aapke do deta hai. Isi simple system par ye business work
karata hai.
Iske liye aapke pass driving
license hona jaruri hai, ya phir aap kisi driver ko bhi hire kar sakate hai.
Jiske pass license ho aur driving ka experience ho.
How to attach Car with Ola:
Iske liye kuch Chize Jaruri hai:
1. Aapke pass New commercial car Ya
phir acchi condition ki commercial car honi chahiye.
2. Aapko Aadhaar card, pan card,
Address proof, driving license, bank passbook in documents ki jarurat padegi.
3. Current bank account hona
jaruri hai.
4. Car owner & Car se related
documents.
Procedure to attach car with OLA:
Step 1:
Aapko apne nazdiki Regional office
me call karana hai, ya phir main branch me bhi call kar sakate hai. Ya nazdiki
office me chale jaye.
Step 2:
Uske bad Form fill karke jo bhi
documents mange gaye hai wo dene honge.
Step 3:
Aapko apni car ke photo bhi send
karane honge, Ola ki taraf se vakti aapko car ki condition check karane aayega.
Step 4:
Sabhi successfully hone ke bad Ola
ki taraf se aapko ek smartphone diya jayega jisme Ola ka app hai.
Step 5:
Ola staff aapko sari guidelines,
rule samajyenge.
Ab aapki card successfully OLA ke
sath business ke liye taiyaar hai.
Ya phir aap online bhi
registration kar sakate hai: https://partners.olacabs.com/
Aap apni earning old ke driver app
me dekh sakate hai.
OLA Cabs Ki Service
Kin Cities Me Available hai?
Ola cabs ki service almost sabhi
big cities me available hai.
1. Mumbai
2. Pune
3. Delhi
4. Kolkata
5. Chennai
6. Bangalore
7. Hyderabad
Yaha par jakar aap cities check
kar sakate hai.
Ola Cabs Contacts
Number For Registration:
Bengaluru Headquarters:
ANI Technologies Private Limited
Maruthi Infotech Center,
A Block - 5th floor
Challaghatta,
Bengaluru, 560071
Ph no - 080-46655300
0 Comments: