What is CPanel Hosting? Cpanel Kya Hota hai?

What is Cpanel Hosting, Cpanel in WordPress, Kya kabhi aapke man me ye sawal aaya hai ki Aakhir Cpanel kya hai.

Jab bhi hum apni site banate hai to hum isko hosting par host karate hai tab hume capnel ki jarurat padati hai. Aakhir ye cpanel hota kya hai?

What is CPanel?

 Cpanel ye online Linux based Web hosting control panel hai. Cpanel hume graphical user interface aur automation tools provide karata hai, jisse hum apni hosting se site ko manage kar sake.

Cpanel ke through Reseller, end user website owner, Administrator web browser ke jariye hosting manage karata hai.
Simple words me Cpanel yane Control Panel hota hai jaha se hum hosting ko manage kar sakate hai.


CPanel Ke through Hum Kya Kya Kar sakate hai?

1. Email Manage Karana:
Cpanel se hum new email create kar sakate hai aur usko manage bhi kar sakate hai.

2. Domain Manage Karana:
Cpanel ke through hum apne domain & subdomain ko manage karate hai.

3. Site Data & File Backup:
Apne site ka jo bhi backup hai usko hum yaha se manage karate hai, jaise site ka backup lena usko restore karana. Etc.

4. WordPress Installation:
Aaj kal jitane bhi blogger hai, unme se most of the blogger wordpress ko prefer karate hai. WordPress ko hume cpanel ke trough hi install karana padata hai.

5. Database Management:
Humari site ka jo database hota hai, usko bhi hume yahi se manage karana padata hai.

Cpanel Add-ons:

Cpanel me hume different add ons bhi milate hai. Isme hume alag alag prakar ke web application jaise wordpress, Joomla, Drupal milate hai.

How to open site Cpanel:

Apni site ka Cpanel kaise open kiya jata hai.
Browser me Simple: www.yoursiteurl.com/cpanel open karle. Apni site ka name aur uske aage /cpanel lagane par aapki site ka Cpanel ka login open ho jata hai.
Uske bad aapke user name & password se log in hona hai.

Cpanel ki official site www.cpanel.com par jakar aap Cpanel ka demo bhi dekh sakate hai ki Cpanel kaisa hota hai, yaha hume kon si facility milegi. Etc.

Waha pe jake CpanelDemo par click kare. Niche di gayi image me bhi aap Cpanel interface dekh sakate hai.

What is Cpanel

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: