एटीएम से पैसे कैसे निकालें , ATM se Paise Kaise Nikale With Picture. एटीएम से पैसे निकालने की विधि .
Aaj hum janenge ki ATM Machine Se Paise kaise nikale jate hai? bahut se logo ke man me ye sawal hota ki ATM se paise nikalane ki vidhi kya hai. To aap is post ko read kare to aapko samaj me aayega ki ATM ka Use Kaise Kiya jata hai.
Aaj hum janenge ki ATM Machine Se Paise kaise nikale jate hai? bahut se logo ke man me ye sawal hota ki ATM se paise nikalane ki vidhi kya hai. To aap is post ko read kare to aapko samaj me aayega ki ATM ka Use Kaise Kiya jata hai.
ATM Card Kya Hota Hai?
ATM Card ek ek
plastic ka card hota hai. ATM Card ka ek Secret PIN Number hota hai. PIN number
kisi bhi na bataye, isse gopniy rakhe. Jiski madad se hum kahi bhi kabhi bhi
24*7 paise nikal sakate hai. Aaj kal har kisi ke pass ATM Card aa gaya hai. Ab log
purane jamane ki tarah wallet me paise nahi rakhate jab bhi jarurat hoti hai
Card nikala swap kiya aur nikale paise.
Agar aapko
shopping karani hai tab bhi aap ATM Card ka use kar sakate hai.
ATM Card kayi
prakar ke hote hai, jaise Master Card, Maestro Card, Rupay Card
ATM Se Paise Kaise Nikale
Jo naye log
hai, unko pata nahi hota hai ki ATM Card ka use kaise kiya jata hai.
1. To aapko kya
karana hai kisi bhi ATM Machine pe chale jaye.
2. Aapka jo ATM
Card hai use ATM Machine me jo slot hota hai usme insert kar de. Aur turant
Card Nikal Le.
3. Card insert
karate hi aapko bhasha (language) select karani hai. Aapke hisaab se bhasha
(Hindi/English) chune.
4. Apne ATM ka PIN
Number (4 Digit ka) Dale
5. Ab aapko
screen pe option dikhayi denge usme Banking Select kare.
6. Aapke samane
bahut se options honge unme se Cash Withdrawal pe click karde.
7. Aapka jo
account hai Current ya Saving wo select kare.
8. Amount
enter kare (aapko jitane paise nikale hai wo rakam dale). Aur yes pe click
karde.
9. Transaction
ko pura hone de. Aur apni rakam collect karle.
10. Apni slip
le le. Aur aakhir me Clear pe click karde.
ATM Se Paise Nikalate Waqt Ye Baate Rakhe Dyan Me
ATM Card use
karate samay aapko kuch baate dyan me rakhani padati hai. ATM Card ko use hum
limited time hi kar sakate hai, kyon ki jo Bank hai unone transaction par limit
de rakhi hai.
Metro City Ke
Liye Transaction Limit: (Delhi, Mumbai, Kolkata,
Chennai,
Bengaluru and Hyderabad)
Dusare bank ke
Atm par hum 1 month me 3 Free transaction kar sakate hai.
Aur apni bank
ke ATM par 1 month me 5 free transaction kar sakate hai.
Free Transction
me kya kya aata hai: PIN Change, Balance Enquiry, Mini Statement, and Balance
Transfer etc.
Yane metro city
me aapko total 8 free transaction milate hai, agar aap 1 month me 8 se jayada
transction karoge to aapke 1 transaction ke liye Rs.20 charge legega.
Non-Metro City
Ke Liye Transaction Limit:
Non metro ki
liye total 10 free transaction hai. Bank bank ke ATM par 5 aur dusare bank ke
atm par 5 yese kul milakar 10 free transaction 1 month me kar sakate hai. Jayada
transction karoge to aapke 1 transaction ke liye Rs.20 charge legega.
To aaj humane
sikha ki ATM se paise kaise nikale aur ATM ke 1 month me kitne transaction kar
sakate hai.
Agar aapka isse
related agar koi bhi sawal hai to aap comment me puch sakate hai.
Kya note badane ke baad ATM card ka pin kaam karega ya pahle jaise pahle pin PE transection kar sakte hai aur transection limit kya hoge
ReplyDelete@ Pravin,
DeleteATM ka pin waise hi rahega usme koi change nahi hoga. Aur transaction limit ke bare me ye post read kare.
कृपया विडिओ भी बनाया कीजिए जिससे हमको समझ मे आ जाये पैसे कैसे निकाल ATM से.
ReplyDelete@Nadeem,
DeleteJarur banayenge.