Gmail account Par 2-Step Verification Kaise On Kare

Gmail account par 2-Step Verification Kaise On Kare, 2 Step Verification Security badhane ke liye bahut important hai.

Hi, Dosto mai aaj aapko ek yesi tip batanae wala hu jo  sabhi ke liye faydemand hai. Aaj har koi internet ka use kar raha hai aur har ek ke pass apna email account hai jaydatar log gmail hi use karte hai.


Gmail Ki Security Badane Ke Badiya Tip


Uspe hamare bahaut hi useful document, files aur data hota hai. Aur data ki security ke bare me har koi sochata hai ki ese Jayda se Jayda secure kaise rakha jaye.
To chaliye aaj mai aapko bataunga ki gmail account ki security kaise badaye 2 step verification ke jariye.




2 Step Verification Kya Hai?

2 step verification yane aapko apna gmail account open karte wakt do bar verify karna hota hai.

1. Apna password dalke
2. Apne mobile pe jo google verification code bhejata hai wo dalke.

Iska fayda ye hai ki agar koi aapka password janta bhi hoga to bhi wo apka account open nahi kar sakta kyon ki use code ki jarurat hogi.
Ye ek prakar ka OTP hi hota hai.




Also Read:



2 Step Verification Kaise Activate Kare ?

     1.    Gmail Account me sign up ho jaye Aur setting pe click kare.


Setting pe click Kar De



     2.    Phir Account & Imports me other google account setting pe click kar de.


Other google Account Setting pe Click kar de


     3.    Uske Bad signing in to Google pe click kar de.


Signing Into Google Pe click kar de


     4.    Aapko apna Recovery phone dikhayi dega niche images me hai vaisa wo aapka suru hai kya ye check kar le agar nahi hai to use badal de.
Upar 2step verification ke age off pe click kar de.

Off pe Click Kar de

     5.    Start Setup pe click kar de.


Start Setup click kar de


     6.    Aapka mobile number dikhayi dega uske niche send text message pe select karke send code pe click kar de.


Send Code Pe click kar de


     7.    Aapke mobile number pe ek message aayega usme ka 6 digit wala code dalke verify pe click kar de.
Code Dalkar Verify Kar De


     8.    Aage ki step me agar aap jis device pe 2 step verification suru kar rahe hai use trust karte hai to “Trust This Computer” Pe click kar de aur next pe click kar de.
Next Pe Click Kare


     9.    Confirm pe click kar de.


Confirm Pe Click kar de


     10.Uske bad aapke samne 1 page open ho jayega .



Backup codes



1.    Backup Number: Agar kisi karan se aapke mobile number pe message nahi aata hai to aap dusare number ka use kar sakate hai.
                Yaha se apan dusara number add kar de.

2.    Backup Codes: Kisi karan se aapke dono mobile number pe message nahi aa raha ya aapka mobile band hai aur aap laptop ya pc se apan gmail open kar rahe hai to aap in backup code ka use kar sakte hai.




Print to download pe click kar ke backup code download kar le.
1 code 1 hi bar use kar sakte hai.


Aapka 2 step verification activate ho gaya hai. Ek baar apne account se sign out ho jaye aur phir se sing in ho jaye password dalne ke baad aapko wo code mangega niche ki image me dekhe.


Two Step verification activate ho gaya hai



Aasha karta hu ki aapko ye post acchi lagi hogi. Agar kisi bhi step me aapko pareshani ho to comment karna na bhule.




Agar aapke pass bhi kuch is tarah ki tips hai to aap hamare sath share kar sakte hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: