Hello, Dosto Aasha karta hu ki aapne blog bana liye hoga
main apni pichali post me bataya tha ki blog kaise banate hai. Blog
to bana liya ab kya ?
Firstly aap ye samaj le ki blogging ek free platform hai.
Blogger.com pe daily lakho blog banate rahat hai. Agar Google har ek new blog
ko search engine me dikhane lagega to Jo quality wale blog,sites hai unka kya ?
Yahi karan hai
ki google new blog ko index nahi karta. To ab aap ye puchenge ki hamara blog
google me aane ke liye hame kya karna hoga to mai aaj uski ke bare me batane
wala hu.
Agar aapko lakho blog me se apne blog ko different banana
hai to chaliye di gayi steps one by one follow kare. Jiseki madat se aapke blog google me index ho jaye.
SEO Kya Hai?
SEO yane Search Engine Optimization hai yane apne blog ya
site ko search engine me lane ke liye kuch setting karni padati hai. Apne Blog
ki Traffic badane ke liye apne blog ko optimize karna padta hai.
Blog Banane Ki Bad Ki Basic SEO Settings:
1. Blog Description
Add Kar Le :
Isme aap aapka blog kis topic ke related
hai ye Jankari 500 character tak likh sakate hai. Ise add karne se aapka blog
kis topic se related hai ye samajne me aasani hoti hai.
Blog description add karne ke liye :
Blogger Dashboard me jaye => Setting => Basic => Description ke samane edit pe click kar de aur apne blog ka description dal de.
Blogger Dashboard me jaye => Setting => Basic => Description ke samane edit pe click kar de aur apne blog ka description dal de.
Also Read:
2. Meta Tags Description :
Yaha aap 150 character tak aapke blog ka description
likh sakte hai. Yape aap ko main keyword use karne hote hai jis se aapka blog
search engine me bhi aaye aur logo ko samaj me aaye ki aapka blog kis chij se
related hai.
Maine Blog description aur Meta tag
description same hi rakha hai.
“Yapa se aap online earning ke tarike skih
sakate hai wo bhi hindi me. Bloggin tips, internet ki Jankari, Free recharge ke
tips.”
Aap bhi same rakhe.
Meta tag description add karne ke liye
Setting me jaye => Search preferences pe jaye aur => Enable Search
description pe click kar de.
Aur apne blog ka description 150
character tak add kar de aur save pe click kar de.
3. Custom Robots header tag :
Blogger Dashboard Se Setting => Search
Preferences =>Custom Robots header tag ka aage edit pe click kane ke baad
aapke samne 30 option ayene
Homepage: 10 options
Archive and Search Pages: 10 options
Defaults for Posts and pages : 10 options
Ye Setting Karne se pahale kuch bate
samaje le waha pe aapko 10 option hai
1. All :
yane aapke site pe sabhi content ko google index kar dega.
2. No
Index : Search engine aapke post ko index nahi karega aur search engine me show
bhi nahi karega.
3. No
follow : Apki link ko follow nahi karega.
4. None:
Same Work hai no index aur no follow ki tarah
5. No archive:
Aap jo tag likhate hai use search engine index nahi karega.
6. No
snippet: search engine me aapke post ki snippet show nahi karega.
7. Noodp:
Post ki Meta data aur title, snippet ko index nahi karega.
8. Notranslate:
jab aap ise activate karane ke bad jab aapka post search engine me index hogi
to uske samane translate ka option nahi hoga.
9. No image
index: search engine image ko index nahi karega
10. Unavaliable_after: Agar aap apni post ko search engine se gayab
karna chahate hai kuch samay bad to aapko yah ape wo date aur time set karna
hota hai.
Agar aapko abhi bhi kuch samaj nahi aa raha to maine jo niche screen
shot me setting ki hai wahi setting aap kar le.
Agar aapko abhi bhi kuch samaj nahi aa raha to maine jo niche screen
shot me setting ki hai wahi setting aap kar le.
Ye sabh setting karne ke bad aapke site ko search engine
me index hone ke liye kafi madat milegai.
Asha karata hu ki aapko meri ye post acchi lagi hogi agar
kisi bhi step me koi problem ho to comment karna na bhule.
0 Comments: