Apple Ke CEO Steve Jobs Ki Success Story Jane Hindi Me

Hello, Dosto aaj hum yese shaksha ke bare me janane ja rahe hai, jinone takaniki duniya me nayi kranti layi jinka jivan humesha hi sangrash bhara raha hai. Unka naam hai Steve Jobs wo apple company ke founder hai.
Dosto ye ek Guest post hai Jo Likhi hai Nilesh Sawant Ne. Nilesh Ek Computer Science Ke Student hai. Unko Latest Technology, Programming Knowledge me Bahut interest hai.



            Aaj har kisi ko lagata hai ki hamare pass Apple ka Laptop, Iphone ho. Apple Ye ek market me sabse top ki company hai. Lekin Apple Company ko is bulandi par lane ke liye Steve Jobs Ko kitani mehanat karni padi hai aaj hum is post me janege.

            Steve Jobs Ne duniya ko dikha diya ki agar jajbat bulant ho to safalta pane ke liye duniya ki koi bhi takat hume rok nahi sakati.

Apple CEO Steve Jobs Success Story


Steve Jobs Ka Janam :
Steve Ka Jivan unke janam se hi sangrash bhara raha hai. Steve Ka Janam 24 February 1955 Ko San Francisco, America Me Hua. 



Steve Jobs Ka College Jivan :
Steve ne bahut hi pratikul paristiyo me apni padayi puri ki. Unki shuravati padayi California Me Hui. Steve ke pass paise nahi the isliye unhe garmiyo ki chutiyo me kam karana padata tha. Padayi ke dauran unke pass apni khud ki room bhi nahi to steve ko apne friends ke room me farsha par sona padata tha. Yesi bikat parishtiyo me steve ne apna graduation Portland ke Read College Se pura kiya.
                  Steve ko khana khane ke liye paise kamane ke liey Cock ki khali botale becha karate the. Steve ne aage padayi ke liye dakila to liye lekin college ki fees bahut hone ke karna steve ne padayi chod di.
Apple Company Ki Shurvat Kaise Ki:
Steve Aur Unke sathi vojinyak ne sun 1976 me 1 company ka gatan kiya jiska naam rakha gaya ‘Apple’. Pahale to wo Circuit Board becha karate the. Apple ne apna pahala model Macintosh Apple 1 Ka Avishkar Kiya Tha.
                  Sub kuch accha chal raha tha lekin niyati ko kuch aur hi manjur tha. Steve ne sun 1983 me Jon jo ki Pepsi Cola Company ke CEO tha, Apple ka CEO Niukat kar diya. Par 1985 Me board meeting me Steve Ko hatane ka nirnaya kiya. Steve Ke liye ye bahut hi dukhatdayak ghatana thi. Steve bahut hi nirash, hatash hue lekin har manate wo steve kaha?

                             Itna sub hone ke baad steve ne himmat nahi hari. Apple se hata dene ke bad steve ne 1985 me Next Ink Naam ki company ki shurvat ki. Next company takniki takat ke liye janane jane lagi. Ise mahaj ek itafak kahe to idhar 1996 me Apple company ke halat bigadati ja rahi thi. Uske shares ki kimat lagatar girati ja rahi thi. Yese me steve ne ise ek mauke ke taur par dekha aur apni Next  Ink Company Apple ko $427 million ko bech di Jiske Chalate Steve Phir se Apple Me bator CEO vapas aagaye. Iske bad Steve Ne kabi piche mudakar nahi dekha.Bad me Steve ne ek ke baad ek nayi bulandiya hasil ki. Steve ne Pixar naam ki ek aur company shuru ki. Uske bad Steve Ne Ipad, Iphone jaise kayi mobiles market me laye.

Steve Jobs Ke Jivan Par Bani Movies:
Steve Jobs Ek Mahan Avishkaran The isliye unke jivan par kayi sari movies bhi bani jisme se niche kuch di gayi hai.
1. Jobs (2013)
2. iSteve (2013)
3. Steve Jobs (2015)

Steve Jobs Ki Maut :
Steve ko 2003 me Pancreatic Cancer ki bimari hui. Jiska illaj na hone ke karan steve ki sangrashyatra ka ant ho gaya. 5 October 2011 ko Palo Alto, California me  unki maut ho gayi.

Maut Hi Zindagi Ka Sabse Bada Avishkar Hai” - Steve Jobs.

“Mahan Log Aur Badiya Products Kabi Marate Nahi “– Steve Jobs.

“Agar Kisi Material Ki Koi Chez kho Jaye To Wo Mil Sakati Hai Par Ek Chiz Agar Kho Jaye To Wo Kabhi Bhi Nahi Mil Sakati Wo Hai LIFE.” Steve Jobs.


Steve ne apne is sangrash bhare jivan se duniya ke liye ek missal pesh ki. Unone Duniya ko dikha diya ki halat kitne bhi viprit kyon na ho agar hamare jajbat buland ho to hum kisi bhi paristiti ka samana kar sakate hai.

From The Author:

Dekha dosto maut ek yesa kadawa such hai jise aaj tak koi nahi bach paya Steve ke pass itna paise honkar bhi wo apni zindagi na kharid paye. Lekin unone Duniya ke liye ek Aadarsh khada kar diya.

        Hume bhi apne jivan kuch yesa kam karana chahiye ke duniya hume marane ke bad bhi yaad rakhe.

Aasha karata hu ki aapko ye post acchi lagi hogi. Aur aap ise social media pe share karana nahi bhulenge.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: