Hello, Dosto aap
subko pata hai ki apne site ko rank karane ke liye aapko SEO ke rule follow
karane padate hai agar aap yesa nahi karate to aapki site kabi bhi search
engine me index nahi hogi. Jab aap SEO follow karate hai to aapko kuch basics
things malum honi chahiye usme se aaj hum bat karane wale hai Black hat Seo aur
White hat seo. To chaliye janate hai black hat aur white hat kya hai.
SEO Follow karane ke Parmukh 2 Types hote hai
1. Black Hat SEO?
Iske naam se hi
aapko andaz laga hoga ki black hat SEO kya hai. Black hat seo yane ki kuch
bura.Ye hamare blog/site ki rank boost karane ka galat tarika hai. Ise shuru-
shuru me apni site ko thoda fayda pauchata hai lekin aage chalkar ye aapke liye
sirdard ban jata hai.
Bahut se new blogger jinone abhi-abhi blogging
shuru kar di hai une lagata hai jab bhi hum koi nayi post kare waise ho search engine
me top par dikhayi de. Par yesa nahi hota isi vajah se new blogger kya karate
hai blog ranking badane ke liye galat tarike aapanate hai. Jaise ki paid
traffic le lena. Aapko internet par bahut sari sites mil jayegi jo ki bahut saste
me aapko 1000/2000 page views de dete hai. Par ye page views original human
nahi hote ye automatic scripts se madam se kiye jate hai. Lekin new blogger ise
anjan hote hai. Aur wo yahi galati kar baitate hai.
2. White Hat SEO?
White hat seo yane
accha. White hat seo ki techniques dhire dhire kam karati hai apne blog ki
ranking badane me par. Agar aapko blogging me success hona hai to aapko white
hat seo hi follow karana padega. Iske liye koi short cut nahi hai. Mehanat se
hi aapka blog rank ho sakate hai.
Black Hat SEO Techniques:
Black hat seo
techniques search engine ke sabi rules ko break kar deti hai.
Ab aapko mai ye
bataunga ki log black hat seo ke liye kon si techniques use karate hai. Jise
aap samaj jayegi ke aapko kon si chize nahi karani.
Cloaking yane site
ke do view banaye jate hai ek hota search engine bots ke liye aur dusara hota
hai user ke liye. Jab search engine me page index hota hai tab bots ko sub kuch
sahi dikhayi deta hai. Jabki user ko kuch aur hi dikhayi deta hai.
Mai ise bhi black
hat seo hi manata hi bahut se new blogger kya karate hai, blog ki fast ranking
ke liye kisi PTC, Ya traffic exchange sites se traffic kharid lete hai jise
paid traffic kaha jata hai.
Kisi bhi popular
sites ka article ya post utakar apni site par dal dena. New blogger ko yesa
lagata hai ki kisi ki post copy karane se humara blog rank me aa jayega.
Apni 1 hi post ko
kayi websites pe publish kar dena use mirror websites kaha jata hai.
Kum content wala
article hona aur usme bahut sare keyword ka use kiya jata hai use keyword stuffing
kaha jata hai.
Ye wo page hote hai
jo ki sirf search engine ke liye banaye jate hai. Search engine me fast
indexing ke liey inka use kiya jata hai.
Meta tag me yese
keywords ka use karana jiska post se koi lena dena nahi. Ise newbies ko lagata
hai apni post fast rank ho jayegi.
Meta tag me un
keyoword ka use karana jo ki high rank keywords hote hai.
White Hat SEO Techniques:
White hat seo
techniques search engine ke guidelines ka palan karati hai.
White hat seo ka
mukha hetu hota hai user ko quality content provide karana na ki bots ko. Agar
aap blogging ko hi apna carrier manate hai to aapko white hat seo hi follow
karana hai. Aap kisi bhi
professional blogger se ya Seo experts to puchnge to wo aapko white hat seo hi
follow karne ki ray dega.
Isme aap pure
quality content ka hi use kare. Apki post kum se kum 700-1000 words ki honi
chahiye.
Aap ne content kahi
se bhi copy nahi karane hai jo bhi likhana hai original likhe. Agar aapko
search engine me apki site ko index karana hai to original content yahi sabse
aasan tarika hai.
Apne blog post me
kum se kum 1 images honi chahiye wo bhi post ke related. Images bhi copyright
nahi honi chahiye agar aapne kahi se li hai to use uska credit jarur de. Main to
kahunga self-created images hi use kare apne post me.
Sabhi search
engines ki apni apni guidelines hai jo ki jayadatar same hi hai usko aapko
follow karana hai.
Apne site me user
aur bots ke liye same page hona chahiye. Aur aapko jayadatar user ko kya pasand
aata hai uspar dyan dena hai.
Black Hat SEO VS White Hat SEO:
Black Hat SEO
|
White Hat SEO
|
1. Search engine ki guidline tod deta
hai.
|
1. Search engine guidelines ka palan.
|
2. Search engine disapproved kar dete
hai post ko.
|
2. Search engine approved kar dete hai post ko.
|
3. Website ka page rank gir jata hai.
|
3. Website ka page rank bad jata hai.
|
4. Newbies, temporary business wale
iska use karate hai.
|
4. Sabhi SEO Experts, Professional
iska use karate hai.
|
To dosto maine
aapko vistar se bataya ki black hat aur white hat seo me kya antar hai. Mere
aapko ek hi sugession hai, agar aap blogging ko apna carrier manate hai aur
aapke blog ko bulandi par pahuchana chahate hai to aapko 100% white hat seo ka
hi palan karana hai. Agar aapne short cuts ka use kiya to aap Jayda din
blogging me tik nahi sakate.
Aasha karata hu ki
aapko meri ye post acchi lagi hogi aur aap samaj gaye hongi ki aapko kya karana
hai, Koi sawal ho to niche comment karana na bhule.
0 Comments: