C Programming: Tokens, Keywords, Identifiers Hindi Me

C pogromming ke hindi tutorial me aapka swagat hai. Aaj hum c pogromming ke kuch basics concept jaise tokens, keywords, aur identifiers ke bare me janenge.

Basic Concept of C Programming:

Tokens:
Tokens ko building block of c programming kaha jata hai. Yane iska matlab hai tokens ki help se hi pura program banata hai. Program me use hone wale every small part ko token kaha jata hai. Aasan bhasha me hum yesa bhi kaha sakate hai ki program ek collection hai different tokens ka. Kisi bhi program ko banane ke liye tokens ki jarurat hoti hai isliye tokens ko tik tarah se samaj lena jaruri hai.

Types Of Tokens:
1. Keyword
2. Identifiers
3. Constants
4. String
5. Operators
6. Special Symbols

1. Keywords:
Keyword in predefined meaning in c programming.
Keyword yane ek word hota hai jiska meaning pahale hi define kiya hota hai. Jab bhi hum koi keyword ka use program me karate hai to compiler ko pahale se uska meaning malum hota hai.
C programming me total 32 keywords hai. Jiski list maine niche di hai. sabhi keywords ko small case me wirte kiya jata hai. Keywords ko hum variable, function name ki tarah use nahi kar sakate.

Auto              break              case           char              const
continue          default             do             double            else
enum             extern             float            for                goto
if                   int               long            register           return
short             signed             sizeof           static             struct
switch            typedef             union          unsigned          void
volatile            while

2. Identifiers:
Definition:
Identifiers is name given to the variable, function, structure, union etc.
Identifier ko user define karata hai.
Identifiers ko define karate samay kuch rules ko follow karana padata hai:
1. Identifier ka name alphabet se start hona chahiye na ki kisi digit (number) se.
2. Identifier ki length kitni bhi lambhi ho sakate hai kyon ye user defined hai.
3. Identifiers me uppercase aur lower case ye dono alag alga hote hai.
4. Identifiers name keyword nahi ho sakata.
5. Blank spaces, white spaces allowed nahi hai.

3. Constants:
Constant is value which doesn’t change in program execution.
Constant yane ek value hotii hai jo program execution me change nahi hota. Constant ki value fixed hoti hai. Constant ke bhi different types hai to hum aage details me dekhenge.
e.g. x=10,
     Age=15

4. String:
It is sequence of character.
String ek sequence hota hai kisi bhe character ka.
Example:
Total,
Name=”umesh”

5. Operators:
Operators is special symbol which is used to perform the mathematical operation.
Operator is symbol hota hai jiska usse programming me addition, subtraction, multiplication, division is tarah ke mathematical operation karane ke liye hota hai.
C programming me kayi tarah ke operator’s available hai. Jo hum aage details me dekhange.
Example:
+,-, /, % etc.

6. Special Symbols:
C programming me kuch special symbols ka use bhi hota hai. Symbols yane alphabet, digit ko chodkar kuch symbols ka use programming me hota hai.
Example:
*, @, $ etc.

Niche Ke Program me tokens ka use kiya hai

/* Program for demonstration of tokens */
# include <stdio.h>
# include <conio.h>
Void main ( )
{
Int a, b, c;
a=10;
b=20
c=a+b
printf(“\n Addition=%d “, c);
getch();
}

Upar diye gaye examples me total identifiers ka use karke program banaya gaya hai. Jisme
void– keyword
a, b – constants
=, +, % - Operators
(),{} – special symbols
Is tarah hum tokens ki help se koi bhi program built kar sakate hai. Tokens ko understand karana ye ek c programming ka basic hai. To ab aap tokens ke bare me jan gaye honge. Agar aapko kahi par bhi koi dikkat ho to comment me jarur bataye.

        
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

1 comment: