Android Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye


Aaj hum android aur computer ki ek trick sikenge jiski help se hum apne computer par android ke madad se internet chala sakate hai. Mobile ko dongle (net setter) ki tarah kaise use kiya jata hai is post me mai aapko bataunga.

Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye


Jab hum new computer, laptop kharidate hai tab hume ek problem aati hai ki ab ispar internet kaise chalaye kyon ki broadband ka connection lena to har kisi ke liye mumkin nahi hota hai. Humare pass mobile ka internet mujud hota hai par usse laptop ya computer kaise use kare ye pata nahi hota hai. Kayi log to iske liye alag se dongle karid lete hai jiske hume alag se paise dene padate hai. To chaliye mai aaj aapko ek simple trick bataunga jiski help se aap mobile se computer me internet chala sakate hai.

Iske liye hume extra paise kharch karane ke koi jarurat nahi hai kyon ki aaj subke pass android mobile available hai usme internet connection hai.

Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye:

Aap mobile ke jariye 2 tariko se internet chala sakate hai mai aapko 2 tarike batata hu aapko jo simple lage wo aap use karo.

Method 1:

Ye method tab hi work karegi jab aapke computer me windows 7, 8, 8.1 ya 10 operating system hogi. Agar aap windows XP use kar rahe hai to ye work nahi karegi.

Step 1:
Apne mobile pe internet data available hai ya nahi check kare. Phir mobile data ko on kare.



Step 2:
Mobile ko USB Cable ke help se computer me connect kar lo.

Step 3:
Mobile Setting -> Wireless & Hotspot -> Tethering & Portable Hotspot -> USB Tethering ko on Kar de.

USB Tethering


Step 4:
Ab aapke computer me notification center me jake check kare computer network ko search kar raha hoga. Thoda time wait kare aapke computer internet se connected dikhayi dega.


Notification Center


To is tarah simple USB Cable aur tethering ke madad se internet connet kar sakate hai.

Method 2:

Ye method thoda sa hard hai isme hum mobile ko wifi router ki tarah use kar sakate hai.
Lekin iske liye aapke computer/ Laptop wifi supported hona chahiye aur sath me computer me Wireless Drivers install hone jaruri hai.

Step 1:
Computer me wireless drivers install hai ya nahi pahale check karle uske liye
Start-> Computer Pe right click Kare -> Properties Pe click kare -> Phir Device Manager pe click kare.
Or
Control Panel-> System -> Device Manager

Step 2:
Device manager me network adapters -> pe jake wireless drivers hai ya nahi check kare. Agar honge to waha pe name dikhayi dega agar install nahi to yellow sign dikhayi dega.


Wireless Driver Check Kare

 Agar drivers nahi hai to install karle. Install karane ke bad computer me Wi-Fi on karle. Uski shortcut keys hoti hai mera Dell ka laptop hai to Fn + F2 se Wi-Fi on ho jata hai.

Step 3:
Sabse pahel mobile ka DATA on Karle.
Mobile ki setting me chale jaye -> Tethering & Portable hotspot me click kare -> Ab Wi-Fi hotspot ko karde.

Wifi Hotspot ON Kare


Step 4:
Agar aapne pahale kabhi hotspot on nahi kiya to aapko wo password puchega usme aap kuch bhi password dale aur save karde.

Step 5:
Ab computer ke notification center me jake check kare aapko waha pe ek network dikayi dega uspe click karke connect karde.
Is tarah hum do tariko se apne computer me mobile ki help se internet chala sakate hai.

Agar upar di gayi kisi step aapki samaj me nahi aa rahi ya koi dikkat aa rahi hai to aap comment me puch sakate hai. Maine to puri details me aapko bata diya hai usme se first method bahut easy hai to har koi use kar sakata hai.

Humare latest updates ke liye subscribe jauru kare.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. sir mujhe network driver chahiye
    link send kar deejiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @vinod,
      Wo aapko google par search karane honge aapke pc, laptop ke hisab se.
      e.g. Dell Inspiron 3512 wifi driver

      Delete