Job Interview Face Karane Ke Liye Tips






Jab bhi hum kahi job ke liye jate hai tab waha pe hume interview dena padata hai. To is interview ko kaise crack kare uske liye kya kya preparation karana padata hai yahi isi post me hum janenge.

Interview Tips Hindi Me


Aaj kal hum jaha par bhi job ke liye jate hai waha pe hume interview ko face karana padata hai agar hum interview acchi tarah se denge to aapko wo job easily mil jayega. Par agar interview accha na diya to aapko job nahi milega. To interview ki taiyaari kaise kare uske kuch tips bataye hai unko follow kare.

Job Interview Ke Liye Tips:

1. Resume/ CV Tik Tarah Se Banaye:
Sabase important baat ki aapko ek accha sa resume (C.V.) banana padega.
Resume kya hota hai, jab bhi hum job ke liye kahi pe application karate hai tab uske sath apna resume send karana padata hai. isme aapki sari details hoti hai jaise educational details, basic details etc.
Aapka jab interview liya jata hai tab sabase jayada question aapke resume ko dekharkar hi puche jate hai. Isliye resume banate samay subkuch such likhe.
Maine ek resume sample banake dikhaya hai aur ye bhi bataya hai ki kaise professional resume banaya jata hai aap yaha se read kar sakate hai.


2. Dressing:
Jo new log hote hai unke iske bare me jayadatar pata nahi hota, lekin dressing karana bhi sabse jaruri hota hai, kyon ki 50% impression aapke dressing par hi nirbhar hota hai. Job interview ke liye jate waqt press kiya hua dress hi use kare. Uspar shirting fit aur clean honi chahiye. Aur sath me agar mumkin ho to shooes ka use kare.

3. Collect Information about Company:
Aap jis bhi company me interview ke liye ja rahe hai us company ke bare me jarur jan le. Company ki history, founder, branches ke bare me jarur pata kare. Aur present me us company ke market me kya value hai iska pata kare.
Jo interview conduct karane wale manager ya team hai unke bare me bhi jan le. Company ki website ko visit de aur information collect kare.

4. Present On The Time:
Jaha bhi aapko interview ke liye jana hai waha pe aapko time se pahale pauchana chahiye. Kyon agar aap interview ke liye 5 minute bhi ter kar denge to aapki job haat se nikal jayegi. Interview ke 30 minutes pahale hi waha pe pauchkar us jagah ko observe kare.



5. Prepare For common Interview question & FAQ’S
Jab bhi aap interview ke liye jaye uske pahale aapko in question ki practice karana jaruri hai. Jayadatar questions same hote hai jine (common interview) question hote hai, wo har interview me aapse puche jate hai, aur kuch recently asked question hote hai (Frequently Asked Qustions).

Common Interview Question (FAQ):

A. Tell me about yourself:
Ye most commonly question hai aap jaha par bhi jayo aapke ye question 90% pucha jayega. Isme aapko apne bare me short me batana padata hai.

B. Why Should We Hire You?
Iska matalab ye hota hai ki wo aapse ya janana chahate hai ki aapko kis wajah se job de.
Aapko iske answer me aapka previous experience ke bare me batana padega. Aap iss company ke liye kis tarah kam karege aur company ka money, time kaise save karenge. Company ko aage badane ke liye aapke pass kuch ideas ho to wo bhi bata sakate hai.

C. What is your goals?
Aap apni life me kya karana chahate hai, aage jakar kya banana chahate hai ye aapko short me batana padega.

D. Tell Me About Your Previous Experience?
Agar aapke pass kisi aur company ka experience hai to wo bhi aapke batana padega. Aur agar aap fresher hai to aapko ye question nahi pucha jayega. Kyon ki resume me humne pahale hi wo mention kiya hota hai.

E. Why should you leave your current job?
Ye sabse muskhil question hota hai, agar aap currently kahi par work krate the to aapse ye question jarur pucha jayega ki aapne apna pahala job qyon chod diya. Iss question ka answer aapko bahut soch samaje ke dena padega.

6. Be Confident:
Kisi bhi kam ko pura karana ho to confidence hona jaruri hai. Agar aapme confidenece nahi hai to aap kisi bhi interview ko crack nahi kar sakate hai.
Confidence is key of success. Yesa kaha jata hai isliye interview dete samay confident rahe. Jo interview le rahe hai unki aakho me aakhe dalkar question ka answer de.
Agar aapko kisi question ka answer nahi aata hai to pahale hi bata de uska galat answer na de.


8. Avoid Bad Habits:
Aapki ji galat aadate hoti hai usko kabu me rakhe.
1. Cell Phone ko switch off kare.
2. Interview ko jate samay somking na kare.
3. Apne sath me pen aur kuch blanks paper bhi sath me rakhe.
4. Face to face bat karane ki koshih kare.
5. Loudly bole yane aapko awaj samane wale tak pahuche.
6. Jo bhi kahana hai wo clear kahe. Ghumak phirakar baat na kare.




9. Use Body Language:
Body language bhi ek kala hai. Jab bhi aap kisi concept ko explain kar rahe hai tab body language ka prayog kare. Kyon ki isse samane wale par accha impression padata hai.

10. Say Thanks:
Jab aapka interview khatam ho jaye tab interview le rahe logo ko thanks kahana na bhule.
Agar aap in tips ko follow karenge to koi bhi interview crack kar sakate hai.
Kisi bhi interview ko face karane ke liye self-confidence hona bahut jaruri hota hai, agar aapke pass self-confidence hai to aapk kisi bhi interview ko face kar sakate hai.
Aapko ye post kaise lagi comment me jarur bataye. Aur apne friend’s ke sath jarur share kare.


Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

4 comments:

  1. Thank you very much sir,I want to know that I want to apply for a call center job in domestic call center my English is not bad but I have good command I'm speaking skills but I am fresher and specially I don't know about basics of computer..so can I get job in call center or not...or before it should I need to take computer class etc.pls guide me..

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Sanjana,
      Computer ka koi basic course karengi to accha hoga. Aapko job mil jayegi.

      Delete