Block SBI ATM/ Debit Card Online, Offline




SBI bank Ka Agar ATM card kho jaye, ya chori ho jaye to hum isko kaise block kar sakate hai. Aaj hum is post me ye janenege.

Block SBI ATM Card

Aaj sabhi ke pass ATM card available hai. Jiski help se hum kahi bhi money withdraw kar sakate hai. Sath me aur bhi kayi sare transaction bhi kar sakate hai. Lekin agar humara ATM card, kho jaye, ya koi chori kar le to hume kya karana chahiye. Kyon ki agar ye kisi galat hato me pad gaya to iska missuse ho sakata hai.
Sabse pahlae hume wo khoya hua ATM card block karana padata hai. Aur baad me hum naye card ke liye apply kar sakate hai.

SBI ka ATM card kho jaye to hum isse kis prakar block kiya jata hai, ye mai aapko bataunga. Hum ise online, offline dono tariko se block kar sakate hai.

ATM Block Karane Ke Ways:

Way 1. Online (Internet Banking User Ke Liye):

Agar aapke pass internet banking active hai to aap online ATM card block kar sakate hai.
Chaho to Aap Internet Banking 5 Minute Me Start Kar Sakate Hai Online Internet Banking Kaise Start Kare

1. Card block karane ke liye sabse pahale sbi ki site pe chale jaye aur apne account me login karle.



2. E-Services Pe click kare.

3. Left side me niche ATM Card Services Pe Click Kare

4. Block ATM Card pe click kar de. Niche Image Me dekhe:

Online Block Kare


5. Ab aapko apna account number select karana hai jiska hume ATM block karana hai. Account Select karane ke bad continue pe click kare.

6. Aapko pucha jayega ki ATM card kyon block karana chahate hai
Select reason Lost/Stolen aur submit pe click kare.

Ab aapka ATM card block ho gaya hai ab us card se koi bhi transaction nahi kar sakata.

Way 2: Offline SMS Se

Ab sabhi ke pass internet banking activate nahi hoti hai, agar aapke pass bhi internet banking shuru nahi to aap is parkar ATM Card block kar sakate hai.
Aapko apne registered mobile number se SMS Send karana hai.
Type Kare: BLOCK XXXX (ATM Card Ke Last 4 Digit) Send Kare: 567676
Example: BLOCK 1247 to 567676

Note: Agar aapko ATM card ke last ke 4 digit malum nahi hai to aap ne pahale agar koi mini statement nikala hua hoga to uspe hote hai ya phir bank me jakar pata kare.


Way 3: Customer Care Ko Call Kare Ya Email:

Agar customer care ko call karke ya email kar ke bhi apan ATM Card block kar sakate hai uske liye aap toll free number par call kare.

Toll Free Numbers: 1800112211 / 18004253800
Email Address: contactcentre@sbi.co.in


Aur bataye ki aapka ATM card, kho gaya hai wo aapko apne account details puchnege jaise Name, Account Number, Branch etc. unko sahi Jankari de aap card block ho jayega.

To is parkar hum kisi bhi ek way se apna ATM/ Debit Card block kar sakate hai. Subse best way 2 number ka hai kyon ki humara card kho jane ke turant bad hum mobile se sms send karke card block kar sakate hai. Taki uska koi missuse na kare.


Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: