SBI ATM Se Card to Card Money Kaise Transfer Kare

Kisi Bhi ATM Center se ek Card se Dusare ATM card pe money kaise transfer karate hai, aaj is post me janate hai.

ATM se card to card money kaise transfer kare

Kayi bar hume apne friends, ya apne ghar pe kisi ko paise send karane hote hai iske liye hum online internet banking, mobile banking ka use kar sakate hai. Lekin sabhi ke pass internet banking nahi hoti hai, isliye hum ye kam kisi bhi ATM center se kar sakate hai.



Card to Card Money Transfer Karane Ke Liye Requirements:
1. Humara khud ka ATM card aur jise pasie transfer karane hai uske card ka 16 digit number

2. Per day atm se card to card hum sirf Rs.40000 send kar sakate hai.

Money Transfer Kaise Kare:
Hum yaha pe SBI se money transfer karane wale hai.

Step 1:
SBI ATM Center pe chale jaye. Phir apna ATM card swip kare.

Step 2:
Ab humare screen pe kafi sare option honge. Us option me se Transfer pe click kare.

Step 1

Step 3:
Ab apne ATM card ka 4 digit pin enter kare.

Step 2

Step 4:
Next screen me humare samane phir se kuch option dikhayi denge unme se card to card fund transfer pe click kare.

Step 3

Step 5:
Ab hume “Please enter Payee card number.” Ye dekhayi dega yane hume jisko paise transfer karane hai uska atm card number jo 16 digit ka hota hai wo enter karana hai.
Card number enter karane pe yes pe click kare.

Step 4

Step 6:
Next screen me “Please re-enter payee card number” ka option dekhayi dega yane hume phir se card number enter karana hai, jisko hume paise transfer karane hai uska.

Step 5

Step 7:
Next screen me hume amount enter karani hai, yane hum kitani amount transfer karana chahate hai wo. Lekin 1 din me hum sirf Rs.40000 transfer kar sakate hai.
Amount enter karane ke bad correct pe click kare.

Step 6

Step 8:
Uske bad hume account type select karana hoga yane aapka account current hai, ya saving wo select kare.

Step 7

Step 9:
Phir hume print out leni hai ya nahi pucha jayeag. Agar leni hai to yes kare ya phir no kare.


Step 10:
“Your transaction being processed please wait….” Message show hoag thoda wait kare.

Step 8

To is tarah hum kisi bhi ATM center se card to card money transfer kar sakate hai.



Agar aapko post se related kuch problem ho to aap niche comment me humse puch sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments: