Aaj 1000 aur 500 ke old notes band
hone ke karana logo ko payments karane me bahut dikkat ho rahi hai.
To wahi dusari aur paytm apne
services extend kar rahi hai, aur apne user ko nayi nayi services offer kar
rahi hai. Ab kayi shops me paytm ke through payments li ja rahi hai.
Lekin kayi jagaho par ya har kisi
ke pass internet na hone ke wajah se kuch log paytm ka use nahi kar pa rahe
hai. Lekin is par bhi paytm ne upay nikal liya hai, ab paytm se hum bina
internet ke kisi ko bhi payment kar sakate hai.
To chaliye janate hai, ki kaise
offline paytm se payment ki ja sakati hai.
Requirements:
1. Aapke pass paytm ka account
hona jaruri hai, uske sath aapka mobile number register hona jaruri hai.
Also Read:
2. Aapka jo registered mobile
number hai, usse pahale hume offline payment ke liye register karana hoga.
Paytm Se Bina Internet Ke Payment Kaise Kare:
Step 1:
Apne registered mobile number se
toll free number 1800-1800-1234 par call karana hai.
Step 2:
Call karane ke bad hume paytm se
offline payment karane ke liye PIN set karana hoga.
Step 3:
Call karane ke bad aapke ek
recorded message sunayi dega. “Aapne abhi tak pin nahi banaya hai Humari
taraf se iske sandharb me jald hi call ki jayegi.”
Step 4:
Paytm ki taraf se aapko call
aayegi aur aapko PIN set karane ko pucha jayega.
Also Read:
Offline Payment Kaise Kare:
1. Ek bar humane apna PIN set kar
diya hai, uske bad jab bhi hume kahi par offline payment karana hai, uske liye
toll free number 1800-1800-1234 call karana hai.
2. Call karane ke bad Jisko paise
bhejane hai, payment karani hai, uska mobile number dale.
3. Iske bad amount dale jo bhi aap
send karana chahate hai.
4. Uske bad apna PIN dale jo
humane set kiya hai.
Finally is tarah hum offline
payment kar sakange. Is tarah ab har koi paytm ke jariye payments kar sakata
hai.
Agar aap chahe to aapke paytm
wallet me jo paise hai usko apne bank account me bhi transfer kar sakate hai,
lekin uske liye hume internet ki jarurat hogi.
Also Read:
To agar aapko ye post acchi lagi
ho to apne friend’s ke sath jarur share kare.
Latest updates pane ke liye
subscribe kare aur humara facebook page jarur like kare.
sir ap google profile me
ReplyDeleteblog about us page kaise add kiya hai.
plz
@ Riajul,
DeleteProfessional, Responsive author box hai, jisme maine apne about us page ki link add ki hai aur mera bare me kuch jankari aur social link provide kiye hai. Iske liye hume apni template me coding karani padati hai.
thanks
ReplyDelete