paytm में पैसे कैसे डाले- Paytm Me Paise Kaise Add Kare

Paytm account me Money kaise add karate hai ye har ek new user ke dimag me sawal hota hai. Jiska answer aapko is post me details me diya jayega.

paytm में पैसे कैसे डाले
paytm में पैसे कैसे डाले

Aaj ke is cashless jamane me Paytm ke jariye hum kisi ko paise bhej sakate hai, recharge kar sakate hai, shopping kar sakate hai, isliye hume pahale paytm accoumt me paise add karane padate hai.


Paytm Account Me Paise Add Karane Ke Liye Kya Kya Jaruri Hai:

1. Aapke pass apna khud ka Paytm Account Hona jaruri hai.
Aga aapne abhi tak paytm par account nahi banaya hai to is post ko read kare aur apna paytm account bana le.
2. Debit Card/ ATM Card
Or
Internet banking, UPI

Paise Kaise Add Kare:

Step 1:
Apne Mobile me paytm app ko open karle. Aur apna Mobile/Email aur Password dale.


Step 2:
Paytm par jo mobile registered hai us mobile pe ek OTP aayega usko enter kare aur verify kare. Isse aapka account aur secured ho jata hai.

Enter OTP


Step 3:
Homepage pe Add Money+ ka option hoga uspe click kare.

Add Money Pe Click Kare


Step 4:
Next hume kitane paise add karane hai wo amount enter kare.

Enter Money


Step 5:
Amount ke samane Promo Code dikhayi dega. Agar aapke pass promo code hai to aap waha dal sakate hai aur apply par click kare.


Promo Code



Step 6:
Complete your payment:
Yaha pe hume ye chunana hota hai ki hum paise kaise add karenge. Usme niche diye hue option hote hai.


1. Debit Card
Isi ko ATM card bhi kaha jata hai, yaha pe apna card ka 16 digit number dalana hai,
Card ki expiry date dalani hai. CVV code dalana hai aur pay now pe click karde.
Agar aapke pass ATM card nahi hai to aap niche diye hue option bhi select kar sakate hai jisme


Card Details Enter Kare


2. Credit card :
Agar aapke pass credit card hai to aap iske jariye bhi money add kar sakate hai.
3. Internet Banking:
Isse bhi aap paise add kar sakate hai.
4. UPI:
Apne UPI ID se bhi aap paise add kar sakate hai.

Step 7:
Jab hum apne ATM card ki details fill karate hai aur pay now par click karate tab aapka jo number bank account se juda hai uspar OTP aayega us OTP ko enter karde.
Is tarah aapne successfully paytm account me paise add kar liye hai.
Paise Add karate hai, aapko Pyatm ki taraf se message aayga ki aapke wallet me paise add kiye gaye hai.


Aur dusari taraf bank se bhi message aa jayega ki card ka use karane ke liye thanks aur aapke bank account se itni money debit ho gayi hai.
Yane humara transaction complete hote hi hume confirmation ka message aa jata hai.

Ab aap apne paytm wallet se mobile recharge, bill payments, ya kisi ko money transfer kar sakate hai.

Paytm se related aapko kuch bhi problem ho to aap niche comment ke jariye hum se share kare hum use solve karane ki puri koshih karenge.

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: