Aaj kal har koi yahi kahate hue
sunayi deta hai ki mujhe government job chahiye, mujhko sarkari
naukri kaise milegi. In jaise kayi sawal humare bhi man me aate rahate hai.

Har koi ek acche job ki tammana
apne man me rakhata hai, aur use pane ki puri koshih karata hai. Most of the
people government job ko hi preference dete hai. Kyon ki govt. jobs me high
salary ke sath job ki security bhi hoti hai.
Agar aap bhi jobs search kar rahe
hai, to ye post read kijiye ye aapke bahut kam ki hogi.
Aap government jobs pane ki ummid
rakhate hai, to iske liye minimum aapke pass graduation hona jaruri hai. Kyon
ki most of the jobs graduation base par hi hote hai. Iske liye aap kisi bhi
stream se graduation complete kar sakate hai.
Government Jobs Kaise Search Kare:
Agar aap government job pana
chahate hai to iske liye aapko vacancy ko search karate rahana hoga. Kyon ki
aaj ke is competitive yug me hume khud ko update rahana hoga.
Agar aap update nahi rahate hai,
to uska nuksaan aapko hi hota hai, suppose aapne bank jobs ki taiyari ki hai,
lekin jab vacancy nikali tab aapko pata hi nahi aur last date ke bad aapko pata
lag jaye to isse humara hi nuksaan ho jata hai.
1. Employment News Papers:
Agar aapko job ke bare janakri
chahiye to employment newspaper ek abhut accha way hai. Is newspaper me aapko
job se related sabhi Jankari hume milati rahati hai.
To is tarah ke newspaper aako read
karane honge.
2. Use Social Media:
Humare pass internet maujud hai,
hume iska use apne fayade ke liye karana chahiye. Hum apna kafi samay Facebook,
wahtsapp par bitate hai, wahi par hume govt. jobs se realted pages, group ko
join kar sakate hai.
Aap jis sector me govt. job
chahate hai unka official facebook page like kare taki jo bhi updates ho aapko
turant mil jayenge.
3. Use Job Portals, websites:
Internet par kafi yesi sites hai,
jo aapko jobs ke bare me latest updates provide karati hai. Un websites ko
aapko check karate rahana hoga. Aap un websites ko subscribe bhi kar sakate hai
jisse aapko jobs se related updates, notification aapke email me aate rahenge.
4. Check official Websites:
Aap jis bhi field me govt. jobs
chahate hai, unki official website aapko check karate rahana jaruri hai.
Example:
Aap UPSC ke liye try kar rahe hai
to UPSC ki official website check karake hum exam pattern, previous year
question paper, syllabus, vacancies in sabhi Jankari parpt kar sakate hai.
UPSC official websites:
www.upsc.gov.in
www.upsconline.nic.in
Agar aap Staff selection commission
se related jobs chahate hai to unki official site check kar sakate hai.
Staff selection commission
official website:
ssc.nic.in
ssconline.nic.in
Govt. Jobs me abhi competition
kafi badh gaya hai, Agar hume govt. jobs chahiye to hume update rahana hoga.
Aur acchi study karani hogi tabhi hume govt. jobs mil sakati hai.
Apne under jo skill hai usko
pahachankar ukse anusar study kare. Agar aapko banking sector me job chahiye to
banking se related hi study kare, usse related sabhi updates par dhyan rakhe.
Govt. Jobs pane ka koi short cut
nahi hai, iske liye hume kafi mehanat karani padegi tabhi hum success ho sakate
hai.
0 Comments: