GPS क्या है और कैसे काम करता है? GPS Kya Hai, Kaise Kam karata Hai. GPS ka naam humane kayi baar suna
hoga aur apne mobile me kayi bar isko use bhi kiya hoga. Jab bhi hum maps ya
kuch location related apps ka use karate hai tab hume apne mobile me GPS on
karana padata hai.

Gps kya hai ? Ye work kaise karata
hai iske bare me hum janate hai.
What is GPS?
Gps kya hai: Iska Full form hai
Global Position System.
Iska use location ke pata karane ke
liye hota hai, yane humari location kaha hai ye exact isse pata lag jata hai.
GPS ka first use America (USA) ke defense department me 27 April 1995 Ko kiya
gaya tha. Bad me iska use badhata gaya aur iska use kayi jagah par hone laga.
Iska use mostly Maps crate karane
ke liye, Zamin ka survey ke liye, Navigation system ke hota hai. GPS ka use
tracking ke liye bhi kiya jata hai.
How GPS Works?
GPS ek system hai jo 3 parts se
bana hua hai
1. Satellite
2. Ground Station
3. Receiver
1. Satellite: Satellite
ke bare me hum janate hai humari earth ke antarikhsh me chode hue hai. Satellite
earth par alag alag signal send karati hai.
2. Ground Station:
Ground station earth par hote hai,
kayi ground station earth par available hai. Satellite se send hue signals
ground station receive karata hai.
3. Receiver:
Receiver yane hum iske liye
example ke taur par mobile, ya humari car ko le sakate hai.
Humara mobile me jo GPS hota hai
wo receiver ka kam karata hai. Receiver exact location ka pata lagane ke liye
alag alag 4 satellite ka use karata hai.
GPS Applications:
GPS alag alag jagah use kiya jata
hai usme se kuch application niche diye hai.
1. Location:
Kisi bhi chiz ka exact location
pata karane ke liye gps ka use kiya jata hai, lekin us device me gps system
honi jaruri hai.
Mountains ki growth measure karane
ke liye bhi iska use hota hai.
2. Navigation:
Navigation yane ek location se
dusare location par jana ya move karana.
3. Mapping:
GPS ka use maps create karane ke
liye hota hai, jo real time me error hote hai unko ye maps banate waqt thik se satellite
ke jariye calculate karake maps create kiya jata hai.
4. Vehicle and Mobile Tracking:
GPS ka use vehicle aur mobile
track karane ke liye kiya jata hai.
GPS ka sabse best example hai, haal
hi me launch hui game Pokemon Go, is game me hume Pokémon ko find karana
padata hai, jo real time me wo humare mobile se humara location track karata
hai. Aur GPS ki help se hi puri game work hoti hai.
Aaj kal gps technology ka use
bahut sari jagah par ho raha hai, aircraft, train, bus cars me bhi iksa use
badhata dikhayi de raha hai.
To ab aap samaj gaye honge ki gps
kya hai aur ye kaise work karata hai. Aapke man me koi sawal ho to aap niche
comment me puch sakate hai.
0 Comments: