Ola Cabs Kya Hai? Ola Cabs Ke Sath Business Kaise Start Kare


OLA Cabs Kya hai, Ola Cabs ke sath Business kaise start kare, OLA Taxi ko book kaise kare.

Ola Cabs Kya Hai? Ola Cabs Ke Sath Business Kaise Start Kare

OLA Cabs Kya hai?

Aap Logo me se kayi logo ne old cabs ke bare me suna hoga. Old Cabs ek taxi service hai. Jisko koi bhi android app se book kar sakata hai. Aur kuch hi minute me taxi customer ke diye hue address par pahuch jati hai.

Hum apni city me kahi se bhi isko book kar sakate hai. Aapko jis bhi jagah jana hai to aap ola cabs book kar ke ja sakate hai.

Ola cabs ka main headquarter Bangalore me hai aur sath me Delhi & Mumbai me bhi branches hai.

Ola Ke Sath Business Kaise Start Kare:

Agar aapke pass driving skill hai aur commercial card hai to aap Ola ke sath business karake paise kama sakate hai.

Ola cabs me aap apni Commercial car ki madad se paise bhi kama sakate hai. Uske liye pahale hume apni Commercial Car old cabs ke sath register karani padati hai.
Jab koi ola cabs app se aapki card book karata hai to usse jo paise milate hai, usme ka kuch commission Ola rakh leta hai aur baki ke aapke do deta hai. Isi simple system par ye business work karata hai.

Iske liye aapke pass driving license hona jaruri hai, ya phir aap kisi driver ko bhi hire kar sakate hai. Jiske pass license ho aur driving ka experience ho.

How to attach Car with Ola:

Iske liye kuch Chize Jaruri hai:
1. Aapke pass New commercial car Ya phir acchi condition ki commercial car honi chahiye.
2. Aapko Aadhaar card, pan card, Address proof, driving license, bank passbook in documents ki jarurat padegi.
3. Current bank account hona jaruri hai.
4. Car owner & Car se related documents.


Procedure to attach car with OLA:

Step 1:
Aapko apne nazdiki Regional office me call karana hai, ya phir main branch me bhi call kar sakate hai. Ya nazdiki office me chale jaye.

Step 2:
Uske bad Form fill karke jo bhi documents mange gaye hai wo dene honge.

Step 3:
Aapko apni car ke photo bhi send karane honge, Ola ki taraf se vakti aapko car ki condition check karane aayega.

Step 4:
Sabhi successfully hone ke bad Ola ki taraf se aapko ek smartphone diya jayega jisme Ola ka app hai.

Step 5:
Ola staff aapko sari guidelines, rule samajyenge.
Ab aapki card successfully OLA ke sath business ke liye taiyaar hai.
Ya phir aap online bhi registration kar sakate hai: https://partners.olacabs.com/
Aap apni earning old ke driver app me dekh sakate hai.

OLA Cabs Ki Service Kin Cities Me Available hai?

Ola cabs ki service almost sabhi big cities me available hai.
1. Mumbai
2. Pune
3. Delhi
4. Kolkata
5. Chennai
6. Bangalore
7. Hyderabad


Yaha par jakar aap cities check kar sakate hai.

Ola Cabs Contacts Number For Registration:
Bengaluru Headquarters:
ANI Technologies Private Limited
Maruthi Infotech Center,
A Block - 5th floor
Challaghatta,
Bengaluru, 560071
Ph no - 080-46655300

Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: