Backlinks Kya Hai, Backlinks Kaise Banaye, high quality aur low quality backlink me kya difference hota hai. Hello, Dosto aaj hum baat
karenge backlinks ke bare me. Backlinks kay hoti hai apne blog ya site ke liye
backlinks ki kya jarurat hoti hai. Agar aapko apni site ko search engine me 1
number pe lana hai to aapko quality backlinks ki jarurat hoti hai.
Bahut se new blogger
backlinks is term se anjan hai. Unhe pata hi nahi hota ki backlinks kya hota
hai iska SEO par kya parinaam padata hai to chaliye janate hai.
Backlinks Kya Hai?
Backlink ye ek link hota hai
jo kisi aur site se aapke site pe aata hai. Yane simple bhasha me kahe to mai
kisi blog pe comment kar deta hu aur mere blog ki waha pe link chod deta hu.
Tab koi user jab meri comment padata hai aur waha se meri link pe click karata
hai to use backlinks kahate hai.
Yesi hai jitni site par aapne
comment karke apni blog ki link chod di hai waha se aapko jo bhi traffic aayegi
use backlinks kahate hai.
Backlinks Ki kya Jarurat Hai?
Backlinks SEO ke hawale se
behat hi important hoti hai. Aapke blog pe jitney jyada backlinks hogi utne
jaldi aapki site search engine me index ho jayegi. Lekin yad rakhe ki backlinks
high quality ki honi chahiye. Aur aapke blog ko referral traffic prapt hota
hai.
Backlinks Bahut sare prakar
ki hoti hai.
1. No follow
2. Do follow
3. Internal Links
4. External Links
5. Low quality Links
6. High quality Links
Also Read:
High Quality backlinks kya hoti Hai?
Maine upar bataye ki high
quality backlinks honi chahiye high quality backlinks kya hoti hai.
For example agar humari site
blogging ke reated hai to hume jo backlinks prapt honi chahiye wo jayada tar
acchi blogging site se hi honi chahiye.
Jinka alexa rank accha ho.
Aap jis site se back links prapt karana chate ho use site ki rank, quality
acchi honi chahiye.
Low Quality backlinks kya hoti Hai?
Sabhi backlinks acchi hi hoti
hai yesa nahi hai? Kuch backlinks low quality ki bhi hoti hai aur wo aapke liye
sir dard ban sakati hai.
Low backlinks yane agar hum
kisi low quality site se back links prapt karte hai to uska aapki site pe bad
impression padata hai.
Bahut sari backlinks bhi
aapke liye tension ho sakati hai. Aap agar kahi se paid backlinks (yane kisi
advertiment site se kharid ke ) parpat karate hai to wo to aapke site ke liye
kharaki ghanti hai.
High Quality backlinks Kaise Prapt Kare Site
ke liye.
Ab aapke man me ye sawal aa
raha hoga ki high quality backlinks prapt karane ke liye hume kya karana hai.
Niche di gayi steps ko follow karke high quality backlinks prapt kar sakate
hai.
1. Write Quality Based Article:
Dosto agar aapko high quality
backlinks chahiye to apne site ke content pe dyan de. Apke content jitne
original honge utni jaldi aapko search engine se high quality back links prapt
hone shuru ho jayege. Kisi ki copy mat kare agar aap copy karenge to aapko
backlinks nahi milengi.
2. Start to Write Guest Post on Other High Ranked Sites
Agar aapko high quality
backlinks chahiye to ye sabse badiya tarika aapko high ranked site pe guest post likhana
shuru karana hoga.
Jab bhi aap kisi high ranked
site pe guest post karate hai to waha pe apne site ki link chod dete hai to
waha se aapko high quality backlinks milate hai.
3. Start Commenting On High Ranked Sites:
Ye Sabse Aasan aur free
method hai quality backlinks ke liye. Aapko high quality site pe comment karana
shuru kar dena hai. Comment karate waqt dyan me rakhe comment article se
realted ho usme koi spam keyword na ho.
But new blogger kay karate
hai site ki rank nahi dekhate aur kisi bhi site pe apni blog ki link chod deta
hai. Ise aapko backlinks to milegi par wo low quality backlinks hogi. Jiska
aapke site ke liye koi fyada nahi hota.
4. Social Media Network:
Socail media yane facbook,
google +, whats app in se bhi backlinks prapt kar sakate hai. But yesa na ho ki
backlinks ke liye aap har waqk social media pe hi bank rahe link share karate
rahe ye bhi ek bad habbit hai.
5. Focus On Quality Not on Quantity:
Ye baat dyan me rakhe ki aap
apne site ke liye kitnai backlinks prapt kar rahe hai ye mayne nahi rakhata.
Aapke site ke liye backlinks kaha se aa rahi hai ye mayne rakhata hai.
Aasha karata hu ki aapko
backlinks ke bare me ab samaj me aa gaya hoga aur kis prakar ki backlinks aapne
site ke liye important hoti hai ye bhi samaja aaya hoga.
Agar aapko ye post acchi lagi
ho to aapne friend’s ke sath social media pe share karana na bhule. Aur agar
koi sawal ho to comment bhi na karana bhule.
Bhai maere back link index nhi ho rhe back link index Kaiser karu
ReplyDelete@ Mahish,
DeleteShyad wo no follow link hogi, aap do follow backlinks prapt karane ke koshih kare.
Nice post sir
ReplyDelete