हिंदी में कैसे लिखा जाता है, चलिए जानते हैHIndi Me Kaise Type kare, hindi me likhane ke liye kya karana hoga. Bahut sare logo
ko offline Hindi typing me dikkat aati hai, unko pata nahi hota ki koun sa tool
use kare. Humara keyboard English hai aur hume jayadatar Hindi typing ki
jarurat hoti hai. Iske liye maine is post me Hindi typing tool ke bare me
bataye hai.
Agar aap
blogger hai aur aap apne blog post Hindi me likhana chahate hai to aapko bahut
sari dikkate aati hai ki koun sa tool best hai aur koun sa nahi. Internet par
aaj intne tools hai jinki madad se hum type to English me karenge lekin use Hindi
me easily convert kar sakate hai.
Hindi Typing Tool:
Google Input
tool:
Ye ek sabse
badiya software hai isse download karane ke liye https://www.google.com/inputtools/windows/
is link pe chale jaye aapko jo jo languages chahiye use select kare aur
download kare.
Isme aapko kul
22 languages milati hai. Aapko jo languages chaiye wo select karke download
kare. Ye bilkul free aur offline available hai.
Isko download
karane ke bad install hone me thoda time lagata hai phir is keyboard ko active
karane ke liye control panel me jake
Contorl Panel
-> Change keyboard or Other Input Methods -> Keyboards -> Add -> Hindi
(Google Input Tool)
Isko add karale.
Bad me niche task bar pe EN pe click kare aur waha se HI Hindi (India) Select
Kare.
Ab aapko jo bhi
type karana hai wo English me type kare e.g mera to ye niche image me diya hai
waise dikhayi dega.
Google Input
Tools Ke Feature:
1. Offline available
hai.
2. Bilkul free
aur easy hai.
3. Koi bhi use
kar sakate hai iske liye hume Hindi keyboard ki malumat ki koi jarurat nahi
hai.
4. Aapko words
se related suggestion provide karata hai.
Offline Hindi Typing Ke Liye
Step 1:
Is link pe jake
aapke configuration ke anusar software download karle.
Step 2:
Aapne jo file
download ki hai wo zip format mai hogi usse pahale extract kar le. Extract
karne ke liye aapko winrar software ki jarurat hogi.
Step 3:
Extract karane
ke bad software ko install kare.
Step 4:
Software
install karane ke bad control panel-> Change keyboard
or Other Input Methods pe click kare.
Step 5:
Uske bad change
keyboard option pe click kare.
Step 6:
Add pe click
kare aur Hindi keyboard add karle. Uske bad apply and Ok pe click kare.
Step 7:
Ab aapko typing
start karane ke liye taskbar pe jo EN dikh raha hai uspe click karana hai. Aur
waha pe (HI) Hindi ko select karana hai.
Ab aapko jo chaiye wo aap type kar sakate hai. Waha pe aapko sirf Hindi transliteration pe click karana hai. Ab
jo bhi type karenge for e.g. mujhe to wo मुझे dikhayi dega.
Mere hisaab se agar aap google input tool ko use karenge to aapko kisi aur Hindi
typing tool ki jarurat nahi hogi.
Agar kisi step me koi problem aa rahi ho to comment me jarur bataye. Aapko
ye post kaise lagi comment me wo bhi jarur bataye.
0 Comments: