Blogger Ke Liye SEO Image Optimization Jane Hindi Me

Hi, Blogger aaj hum dekhenge ki images ko kaise optimize karate aur apne blog ki seo ranking ko improve karate hai.

How to Make Images Seo Friendly For Blog

Image Optimization Kya Hai? Aur Kyon Jaruri Hai?

Apne blog pe images bahut hi badiya role play karati hai. Agar apni blog post me image na ho to wo post boaring lagane lagati hai. Isliye post me kam se kam 1 to images honi chahiye wo bhi post related.



Images optimization yane aapko images to dikani hai par uska size kum karana hota hai aur uski quality bhi hume jaise thi waisi hi rakahni hai.

Ise kya hoga aapka blog fastly open ho jayega agar aap images ki size na kum kare aur use waise hi upload kar denge to uska effect apke pure post ya blog pe padata hai. Aapka blog open hone me bahut time leta hai.
Bahut se new blogger yahi galati kar dete hai. To chaliye dekhate hai ki images ko seo friendly kaise banate hai.




   1.Images ko Rename kar de

Maine kayi blog pe dekha hai ki kayi log images ka naam nahi change kar dete aur waise hi upload kar dete hai. Par seo ke hisaab se aapko images ko rename karana padata hai. Images ko article se related naam de.

Wrong Format:
Img12345.jpg

Right Format:
Images ko blog post ke related naam de jaise
Seo-friendly-images-for-blog.jpg

Images Format:

Hume ye bhi dyan me rakhana hota hai ki images ka format kya rakhe yane .jpeg,. png yahi format aap use kare.




Also Read:


   2.Alt tag Aur Title Tag ka Use Kare

‘Alt’: ye ek html property hai yane jab kisi wajah se apki images nahi dikhayi deti (Internet ki slow speed se) to images ke badale me alt text dikhayi deta hai. Yane Alternative text hota hai jo google robots ko batata hai ki ye images kis ke related hai. Aur aapke blog ki traffic badane me aasani hoti hai.

Title: title tag ye logo ke liye hota hai aap apni image ko post se related koi title de sakate hai.Jab aap image upload karte ke bad use select kare waha pe aapko properties ka option dikhayi dega uspe click kare aur image me title aur alt tag description likh le.

Properties Pe Click kare Aur Alt tag , Title Tag Likh Le


   3. Images ki Size Kum Kare Par quality wahi rahane de


Ye 3rd step bahut hi important hai aapko image ki size bahut ki kum rakhani padati hai jaise 20-30 kb aur uski quality bhi hume acchi rakhani hoti hai.




Iske liye aap kar https://kraken.io/web-interface is link pe jaye waha pe aapko directly images upload karani hai jinka aap size kum karavana chahate hai.
Karken ek yesi site hai jaha se hum image ka size kum kar sakate hai bina quality loss kiye.


Karken Pe Image Upload Kare



Images upload kar de kraken  images ko karced kar ke unki size bahut kum kar degi e.g aapki images upload karne se pahale size thi 70 kb aur karced karne ke bad size ho jayegi 25-30 kb tak.


Kraken Image Download Kar le



Aap wo images zip file me bhi download kar sakate hai ya phir 1-1 karke.





Aasha karata hu ki aapko meri ye post acchi lagi hogi aur aapke blog ki rank ko improve karane me madad karegi.
Koi sawal ho to comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: