Blog Pe Comments System Kaise Add Kare

Hi, Dosto aaj mai aapko bataunga ki apne blog pe comments enable or disable kaise karte hai. Agar aap comment ko moderation pe rakhana chahate to wo bhi on kar sakate hai, jisse aapke blog pe scam comment nahi aayegi.

Blog comment enable or disable kaise kare?

Blog pe comment enable karne ki kya jarurat hai ?

Aap bahut sare, blog ya website ko visit karte honge aur bahut se popular blog pe aapko comment ki gayi nazar aayegi.
                                Jitni jyada article ke related comment ho uska matlab hai aap ka blog popular hai. Comment ek eisa jariya hai jiski madat je user blog admin se apne sawal, apna suggestion de sakta hai. Iska fayda dono ko hota hai reader ko bhi aur blog admin ko bhi. Agar blog ki post me koi galati ho to reader comment ke jariye admin ko suggest kar sakta hai. Ya phir agar blog read karne wale ko koi pareshani ho to wo apni pareshani puch sakta hai.
Jab aap reader ke question ka sahi solution bata dete ho to wo reader bar bar aapke blog ko visit karega aur aapke blog ko ranking me madat milegi.




Also Read:

Blog Comment Enable Kaise Kare ?

Blog comment enable karne se pahale ye jan le ki sabhi visitor post ke related comment nahi karte kafi user spam comment bhi karte hai. Spam comments se apke blog par bad impression pad jata hai. Aur kayi user comment ke sath apni site ka link chod jate hai. Isliye hume comment moderation bhi on karna padta hai.





Blogger Dashboard pe jaye => Setting Pe jaye => Post and comment pe jaye => Comment location ko embedded select kar le.


Blog comment Shuru Karne ke Step


Who can comment- Register User
Yane sirf register user jiske pass koi id hai jaise blogger, ya google + ki ye log hi comment kar sakte hai.
Comment Moderation: Always
Jab koi aapke blog pe comment karega to wo jab tak aap use publish nahi kar deta wo blog pe dikayi nahi degi.
Show word Verification: yes
Jab koi user comment karega to use Captcha code dalna hoga ya google image verification karna hoga. Kyon ki  jo hacker hai wo coding ke jariye backing ke liye comment karte hai ise unko roka ja sakata hai.
Show Backlinks: Hide
Agar aap comment me jo link hai use backlink dena chate hai to show kar de.




Google + Comment kaise enable kare?

Google dashboard pe jaye aur niche Google + pe click kar de => Use google + comment on this blog ko tick kar de.

Google+ Comment Enable Kare


Particular Page Pe comment disable kare ?

Kabhi kabhi kya hota hai hume kuch page par comment disable karne hote hai jaise ki about us, contact us page hai uspar hume kisi ko comment nahi karne dena hai.
Agar koi aapke about us page pe comment kar de uska bad impression pad jata hai jo user hai uska dyan bat jata hai.




Page pe comment disable karne ke liye => Pages me jaye jis page par aapko comment disable karna hai use edit kar de => Right side me aapko page setting dikhayi degi uspar click kare.
Option par Don’t allow hide existing pe click kar ke save kar de.


Kisi Page Par Comment Disable kaise Kare


Asha karta hu ki aapko meri ye post pasand aayi hogi.
Agar iske bare me aapko koi bhi dikkat ho to comment karna na bhule.
Aur aap bhi agar blogging ye internet tips, windows tips ke bare me post likhna chate hai to guest posting ke jariye hamare sath share kar sakate hai.
Happy Blogging…………………….. :)
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: