Hi, Blogger aaj hum dekhenge ki images ko kaise optimize
karate aur apne blog ki seo ranking ko improve karate hai.
Image Optimization Kya Hai? Aur Kyon Jaruri Hai?
Apne blog pe images bahut hi badiya role play karati hai.
Agar apni blog post me image na ho to wo post boaring lagane lagati hai. Isliye
post me kam se kam 1 to images honi chahiye wo bhi post related.
Images optimization yane aapko images to dikani hai par
uska size kum karana hota hai aur uski quality bhi hume jaise thi waisi hi rakahni
hai.
Ise kya hoga aapka blog fastly open ho jayega agar aap
images ki size na kum kare aur use waise hi upload kar denge to uska effect
apke pure post ya blog pe padata hai. Aapka blog open hone me bahut time leta
hai.
Bahut se new blogger yahi galati kar dete hai. To chaliye
dekhate hai ki images ko seo friendly kaise banate hai.
1.Images ko Rename kar de
Maine kayi blog pe dekha hai ki kayi log images ka naam
nahi change kar dete aur waise hi upload kar dete hai. Par seo ke hisaab se
aapko images ko rename karana padata hai. Images ko article se related naam de.
Wrong Format:
Img12345.jpg
Right Format:
Images ko blog post ke related naam de jaise
Seo-friendly-images-for-blog.jpg
Images Format:
Hume ye bhi dyan me rakhana hota hai ki images ka format
kya rakhe yane .jpeg,. png yahi format aap use kare.
Also Read:
2.Alt tag Aur Title Tag ka Use Kare
‘Alt’: ye ek html property hai yane
jab kisi wajah se apki images nahi dikhayi deti (Internet ki slow speed se) to
images ke badale me alt text dikhayi deta hai. Yane Alternative text hota hai jo
google robots ko batata hai ki ye images kis ke related hai. Aur aapke blog ki
traffic badane me aasani hoti hai.
Title: title tag ye logo ke liye
hota hai aap apni image ko post se related koi title de sakate hai.Jab aap image upload karte ke bad use select kare waha pe
aapko properties ka option dikhayi dega uspe click kare aur image me title aur
alt tag description likh le.
3. Images ki Size Kum Kare Par quality wahi rahane de
Ye 3rd step bahut hi important hai aapko image ki size
bahut ki kum rakhani padati hai jaise 20-30 kb aur uski quality bhi hume acchi
rakhani hoti hai.
Iske liye aap kar https://kraken.io/web-interface
is link pe jaye waha pe aapko directly images upload karani hai jinka aap size
kum karavana chahate hai.
Karken ek yesi site hai jaha se hum image ka size kum kar
sakate hai bina quality loss kiye.
Images upload kar de kraken images ko karced kar ke
unki size bahut kum kar degi e.g aapki images upload karne se pahale size thi
70 kb aur karced karne ke bad size ho jayegi 25-30 kb tak.
Aap wo images zip file me bhi download kar sakate hai ya
phir 1-1 karke.
Aasha karata hu ki aapko meri ye post acchi lagi hogi aur
aapke blog ki rank ko improve karane me madad karegi.
Koi sawal ho to comment karana na bhule.
0 Comments: