Hello, Dosto Aaj hum bat
Karenge Facebook ke bare me. Facebook 1 social networking site hai jiski madad
se hum apne friends, relative ke sath jude rah sakate hai. Unke sath Photo,
video share kar sakate. Par Kabhi Kabhi kay ho jata hai kisi vajah se humara
Facebook account block ho jata hai. Wo kyon block hota hai aaj hum usi ke bare
me janege.
Facebook Id Block Hone Ke 10
Reason :
Facebook ka use hum photo,
koi news, ya apni feeling share karane ke liye hota hai. Lekin iski limit hai
ki hum kitne photo, kon si link facebook pe share kare. Agar aap iski limit tod
dete hai to iska jurmana me aapka facebook id blocking ho jata hai. Kabhi-
Kabhi facebook id temperory block ho jati hai, jo ki 10-15 din me release ho
jati hai.
Aur agar aap facebook pe
warning ke bavajut pe agar link share karate hai to facebook apka account block
kar dega.
Facebook Block hone ke top
most reason
1. Duplicate/ Fake Account Banana:
Facebook sabse popular social
networking site hai to iska galat fayda utane ne ke liye kai log fake id banate
hai aur logo ko cheat karate hai. Facebook ke reputation ko badiya rakane ke
liye facebook fake id pe nazar rakati hai agar facebook ko jara sa bhi shak hua
to wo apka account block kar sakata hai.
2. Advertisement Karana:
Facebook sabse popular hone
ki wajah se kai log iska galat fayada apna business ki advertisement karane ke
liye karate hai.
Ya phir paise kamane ke
tariko ke bare me links, send karate rahate hai to jyada referral banane ke
chakkar me wo 1 hi post ko bar bar advertise karate hai. Facebook par
advertisement kar sakate hai par uski bhi limit hai.
1 hi post ko bar bar share
karane par facebook usko spam manata hai aur apka account block kar sakata hai.
3. Ek Sath Kafi Group Join Karana :
Maine upar bataye ki log
paise kamane ke liye bahut sare groups joins karate hai aur waha pe apni links
share karana shuru kar dete hai. Par 1 sath kafi group ko join karana bhi
khatare ki ghanti ho sakati hai.
4. Ek Sath Kayi Friends Ko Tag Karana:
Kai log kya kar dete hai bina
kise wajah ke apne kayi friends ko post me tag kar dete hai. Par facebook ye allow
nahi karata bina kisi wajah ke kisi bhi vakti ko tag nahi kar sakate.
5. Porn Content Post Karana:
Facebook ki apni hi ek
reputation hai. Facebook pe aap porn content ya koi illgal content ko post nahi
kar sakate agar aapne yesa kiya to ye bhi aapke liye khatara ho sakata hai.
6. Multiple friends Request Send karana :
Facebook par aap ek sath
multiple friends request nahi send kar sakate . Aur Friends request send karate
samay ye dyan rakhe ki wo friend apki pahachan ka ho warana agar aap unknown logo
ko friend request send karate hai to bhi aapka facebook account block ho sakata
hai.
7. Ek Hi Link Bar-Bar Send Karana:
Aksar ye tab hota jab aap
kisi referral sites ki link share karate hai. Aaj internet par kayi yesi sites,
aaps he jo ki friends ko refer karane par aapko paise deti hai. Isi ke chakkar
me kai log wahi link kayi group me bar bar send kar dete hai. Iski wajah se bhi
aapki facebook id block hone ke chances hai.
8. Ek Sath Kayi Comment, Like
Karana:
1. Duplicate/ Fake Account Banana:
2. Advertisement Karana:
3. Ek Sath Kafi Group Join Karana :
4. Ek Sath Kayi Friends Ko Tag Karana:
5. Porn Content Post Karana:
6. Multiple friends Request Send karana :
7. Ek Hi Link Bar-Bar Send Karana:
8. Ek Sath Kayi Comment, Like
Karana:
Facebook original logo pe
jayada consantrate karata hai na ki Bots, ye kisi script pe kayi log kya karate
hai auto liking, auto commenting iske chakkar me padate hai. Aur yese aaps, ya
links ka use karate hai. Iski wajah se bhi apka account block ho sakate hai.
9. Profile Complete Na Hona:
Facebook profile me aapko
sabi sahi-sahi information deni padati hai. Agar aap koi galat information
provide karate hai to bhi aapka liye khatara hai.
10. Duplicate Messages:
Kisi ke message ko copy na
kare agar kiye to bhi use jayada share na kare. 1 hi text agar aap bar bar
share karate hai to ye bhi bad habbit hai.
Agar aapka account temperory
block ho jaye to aapko yesa message aata hai.
You are temporary blocked
from using a feature (ex: sending messages, tagging things, uploading photos).
Facebook Id Block Hone Se
Kaise Bache:
1. Facebook pe apni
sahi Jankari fill up kare.
2. Ek sath kafi friends
request na send kare. Kayi friends ko tag na kare.
3. Apni Profile ko profile
picture set kare.
4. Ek hi links ko bar bar kisi
group me share na kare. Agar aapko links send karani hai to aapko 1 links send
karne ke bad kum se kum 20-25 minutes tak wait karana hoga.
5. Alternative mobile number,
aur email id set kare.
Is tarah se aap apne facebook
id ko block hone se bach sakate hai.
To is post me humne dekha ki
kyon hamari facebook id block hoti hai agar aapko ye post acchi lagi ho to ise
apne frineds ke sath share karana na bhule.
Humare Latest facebook
updates ke liye humara facebook page ko like karana na bhule.
Sir ham ekk din me kitni request send kar sakte hai
ReplyDelete@Kunal,
DeleteNormally 1 din me 10-15 request thik hai.
Nickname ko stylish font me likh sakte hai kya
ReplyDelete@Kunal,
DeleteHa likh sakate hai.
Good information..
ReplyDelete