New blog start
karane wale hai, to is post ko jarur read kare, taki new blogger ko easily
samaj me aaye ki blogger dashboard kya hota hai.
Blogger dashboard me jo option
hote hai, unka use kya hota hai, kis prakar hum apne blog me unka istamaal kar
sakate hai, iski sari Jankari aapko mil jayegi.
Blogger Dashboard Details:
Sabse first apne email id se
blogger account me sign in karle. Ab aapke samane 1 page kulega.
Agar aapke pass ek hi email se
banaye hue kayi blog honge to uski list aapko waha pe dikhayi degi. Ab jis blog
bar hume work karana hai, uske name pe click kare.
Ab usme upar hume 3 option dikhayi
denge jo aap niche image me dekh sakate hai.
Blogger name se age jo 3 options
hai:
1. Jo pencil ki tarah dikhayi deta
hai, wo new post likhane ke liye use kiya jata hai.
2. Uske agge jo option hai, wo
humari puri blog post jo humane publish kar di hai, unki list dikhayi degi.
3. View Blog: ispar click karate
hi humara blog open ho jata hai.
Ab aate hai, niche right side me
aapko total 11 option dikhayi dege jo aap niche image me dekh sakate hai. Unka
use niche diya gaya hai.
1. New Post:
Yaha se bhi new post likhane ke
liye editor open ho jata hai.
2. Overview:
Yaha pe humare blog ki puri
details jaise
Waiting me kitni comment hai, aur
kitni comment publish ki hai.
Day ke kitane pageview hue hai.
Total kitni post publish ki hai, aur kitne follower hai, isi Jankari hume yaha
overview me dikhayi degi.
3. Posts:
Yaha se hum apni puri post jo
publish ki hai, post kab publish ki thi uski date, draft me save ki hai, wo
dekhane ko milegi. Yaha se hum post ko edit, delete bhi kar sakate hai.
4. Pages:
Hume agar new page create karane
hai, jaise contact us, about us, privacy page yaha se create kar sakate hai. Ya
published page ko edit bhi kar sakate hai.
5. Comments:
Jitni bhi comment chahe wo waiting
me ho ya, published ho wo hum yaha se dekh sakate hai.
6. Stats:
Yaha pe humare blog ka pura
statistics yane daily traffic, overview, today, yesterday, Last month, All Time
ke visitor hume yaha se dekhane ko milate hai.
7. Earning:
Agar aapne blogger par google ki
ads lagayi hai, to aapko wo yaha se dekhane ko milati hai, unko kis tarah post
me lagana hai, wo setting yaha se kar sakate hai.
8. Campaigns:
Yaha se hum ad create karake
humare blog ke liye visitor la sakate hai, Google adword ki help se.
9. Layout:
Blog ki sabhi designing yaha se ki
jati hai, jaise blog template me kisi gadget ko add ya remove karana.
10. Template:
Blogger ki template change karane ke liye, new
template upload karane ke liye, jo template hai, uska backup lene ke liye yaha
se option hume mil jata hai.
Mobile me template ko kaise show
karana hai, wo bhi hum yaha se set kar sakate hai.
Also Read:
11. Setting:
Blog ki basic se lekar, advanced setting
hume is option ke jariye hi karani hoti hai.
To ab aapko samaj aaya hoga ki
blogger dashboard kya hota hai, jo option hote hai, unka kya use hota hai.
Agar aapke ke man me koi sawal ya
sujaw ho to aap comment me jarur bataye.
Bahut Hi Achi Post Hai
ReplyDeletehelpfull post hai
ReplyDelete