Hi, dosto aaj hum bat karane wale hai plagiarishm yane apne site ke
content ke chori ke bare me. Kya hota hai new blogger kya karate hai top blog
ya site se content ko copy karake apne site pe dal dete hai. Tab use copyright
content kaha jata hai. Copyright content use karane se dono sites ko nuksan
pahuchata hai. Jisne chori ki hai use bhi search engine se traffic nahi milati
aur jiske original content hai uski bhi kafi traffic kum ho jati hai. Kyon ki
SEO ki hisab se search engine kya karata hai kahi par bhi agar usko duplicate
content nazar aaye to use wo index nahi karta.
To chaliye aaj hum janate hai ki kaise hum apne site ka content chori ho raha ye malum kar sakate hai.
To chaliye aaj hum janate hai ki kaise hum apne site ka content chori ho raha ye malum kar sakate hai.
Mai aapko niche kuch tools batane wala hu jise aap ye check kar
sakenge ki aapki site ke content ko koi chori kar raha hai. Ya by mistake aapke
site pe bhi koi copyright content to nahi hai.
Copyright Content Use Karane Ke Nuksan :
Copyright content use karane se traffic pe to asar padata hi hai
aur aap agar adsense ke liye aaply karana chahate hai to aapko apni site pe se
bhi copyright content ko remove karana padata hai. Warana aapka adsense account
disapprove ho jayega.
Top Copyright Content Checker Tools:
Waise to aapko internet par kafi tools mil jayege isme se mai aapko
kuch best tools bata raha hu.
Tool 1.
Bahut se blogger is tool ka use karate hai ye bahut hi easy hai use
karane ke liye. Aapko sirf kya karna hai aapko puri post ko waha pe paste
karana hai maximum 1000 words. Wo aapko unique text ko green
color me aur jo text already internet pe use kiya hai wo red color me dikhayega.
Tool 2.
Ye bhi ek badiya tools hai isme sirf aapko apne site ka url dalana hai
ya phir jis post ko check karana chahate hai us post ko url dal de.
Tool 3.
Plagium bhi badiya tool hai content check karane ke liye. But yaad
rakhe ye paid site iske aap din me 1-3 baar hi free me url check kar sakate
hai. Isme aap 5000 characters tak check kar sakate hai. Apni post ke text to
paste karake quick search ya deep search pe click kare.
Tool 4.
Ye ek badiya tool hai yaha pe aap do url dalkar compare kar sakate
hai.
Yaha pe aapko percentage me content similar hai ya nahi dikhata hai.
Tool 5.
Dmca site se aap free me do baar scan kar sakate hai. Dmca ye ek
online protection site hai jo aapke content ko copy hone se bhi rok sakati hai.
Iske liye aapko uspar account banake site me uska code add karana padata hai.
Is tool ki madad se aap kul 190+ se bhi Jayda language me ke
content check kar sakate hai.
Tool 7.
Ye ek online 3 in one tool hai. Iski madad se hum grammer, spelling
as well as copyright content check kar sakate hai.
Tool 8.
Plagspotter me app batch ulr ki madad se ek sath kayi rul dal ke
aap unko compare kar sakate hai.
Tool 9.
Grammarly bhi bahut acchi site hai. Jisme aapko ek sath kayi
feature milege jaise agar aap English blog use karate hai is tool se aap post
me se grammer ki galtiya sudhar sakate hai. Spelling mistakes ko sudhar sakate
hai aur duplicate content ko bhi check kar sakate hai.
Tool 10.
Is tool ki madad se aap 2 type’s se check kar sakate hai. Ek to aap
sari post ko yaha pe paste kare aur check kare. Ya phir dusari method aap apni
post ko text, ya .doc files me upload karke bhi check kar sakate hai.
Iski khasiyat ye hai ki ye aapko sites ke name bata deta hai jaha
pe aapke content copy ho rahe hai.
Other Tools:
To aapko kya karana hai in tools ka use karake apni post, sites ko
check karana hai jisse aapko original content, copyrighted content, plagiarism
content kon se hai pata lag jayega.
Aasha karata hu ki aapko ye post acchi lagi hogi agar koi problem
ho to comment karana na bhule.
ReplyDeleteye jabadast seo tool hai.
is website ka alexa ranking bhi acha hai.
Good information dear I am very appreciate but aap bata sakte hain Ek he Vishay par Lakhon karodo article likhe Jate Hain Toh Kya Hua copyright Mein Aata Hai
ReplyDelete@zarrortxyz
DeleteEk vishay par lakho article hote hai, lekin har kisi ke likhane ka andaz alag alag hota hai. Jisse wo article ek new article ban jata hai.
Hi
ReplyDeleteHow to check back link of any blog
Free Help
DeleteIske liye kafi tools aapko google par mil jayenge lekin jisme se kayi paid tool hai.