Slow Computer को Fast करने के लिए 8 Tips

Slow Computer/Laptop Ko Fast Kaise Kare, स्लो कंप्यूटर को फ़ास्ट करने की ट्रिक. कंप्यूटर की स्पीड कैसे बढाए. Hello, dosto aaj hum bat karane wale hai agar aapka windows pc slow ho jaye to uski speed kaise badayi jaye.
Kabhi-kabhi kya ho jata hai ki humara pc ya laptop bahut hi slow ho jata hai. Uski kam karane ki speed kum ho jati hai. Jab aap pc shuru ya band karate hai to wo bahut time leta hai. Song, data copy karane me bahut time lagata hai. To chaliye aaj hum janate hai ki apne pc ki speed kaise badayi jaye.

Speed-up-pc-performence


Nice Di Gayi Step Follow Kare PC Ko Speed Up Karane Ke Liye:


Tip 1:
Use C Cleaner:
C cleaner ye ek bahut hi popular software hai, jo ki temporary files removes karata hai. Aur itna hi nahi internet explorer, mozilla firefox, google chrome in sab browser ki cookies, temporary files ko bhi delete karata hai.
C cleaner download karane ke liye is http://www.piriform.com/ccleaner
link pe jaye aur download kar le. C cleaner ke basic aur professional version hote hai. Aap basic free me use kar sakate hai.


C cleaner install karne ke bad run cleaner pe click kare wo aapke pe me se temperory files ko remove kar dega jiki wajah aapka pc fast ho jayega.
C cleaner registry bhi clean karata hai aur uske problem ko solve karta hai. Aap c cleaner ki madad se program bhi uninstall kar sakate hai.

C Cleaner Ka Use Kare

      Þ    Gmail ki security kaise badaye


Tip 2:
Uninstall unnecessary programs:
Aapka pc slow hone ye ek karan hota hai. Aapke pc me bahut sare application install hote hai. Jab ki isme se kafi program ko aap roz nahi use karate isliye jo program aap regularly use nahi karate use uninstall kar de.
Uninstall karane ke liye Start => Control Panel => Program and Feature
Yaha pe aapko sare install program ki list dikhayi degi usme se jo program kam ke nahi hai use install kare.


Uninstall Unnecessary Programs

         


Tip 3:

Disable Startup Programs:
Jab aapka pc shuru ho jata hai tab aapki operating system ko load hone me time lagata hai iska karan ho hai windows=----- operating system ke sath shuru hone wale program jise kaha jata hai startup programs.
Hume speed badane ke liye jo kam ko programs nahi hote hai unhe disable karana padata hai.


Disable karane ke liye apne keword pe jo windows+R ko ek sath dabana hai. Uske bad Run ki ek choti windows ope ho jayegi usme ‘msconfig’ type kar ke enter daba de.
Aapke samane ek aur system configuration name ki window open ho jayegi waha se start up click kare. Aur jis program ko aap disable karana chahate hai use tick mark hata de aur ok kare.

Start up program ko disable kare




Tip 4:
Temporary Files Ko Delete Kare:
Temporary files ko delete karane se bhi apke aapka pc fast working karata hai. Temporary files ko delete karane ke liye, aapko ‘Windows+R’ dabana hai. Phir run me %temp% ye command dal ke enter kare. Aapke samane windows open ho jayegi usme se sabhi files select karake delete kar de.

Temporary files ko delete kare




Tip 5:
Prefetch Files Ko Delete Kare:
Prefetch files wo files hoti hai jiska use hamari operating system karti hai. Par kam hone ke bad in files koi jarurat nahi rahati isliye 15-20 din me aap ye files delete kare.
Prefetch files ko delete karane ke liye, aapko ‘Windows+R’ dabana hai. Phir run me prefetch ye command dal ke enter kare. Aapke samane windows open ho jayegi usme se sabhi files select karake delete kar de.






Tip 6:
Disk Cleanup Ka Use Kare:
Disk cleanup ye ek system tool hai jo aapke pc me inbuilt hota hai. Aapko 15-20 din me disk clean up bhi perform karana hai jise aapka pc fastly work karta hai.
Disk clean up karane ke liye
Go to Start -> All programs ->Accessories -> System tools ->Disk cleanup
Waha se aapna drive select kare aur ok pe click kar de. Ise thoda time legega. Ye aapke drive me se temperory files, system errors, dumps files,old download data ko remove kar dega.


Disk Clean up Perform kare





Tip 7:
Disk defragmentation kare.
Jab aap kisi files ko pc me save karte hai to wo file humari memory me kabhi par bhi store ho jati hai. Sequentially store nahi hoti agar hum disk ko defragement karte hai to wo files 1 sequence se store ho jayegi aur files ke bich me ka jo anter hota hai wo bhi remove ho jata hai.
Ye bhi aapke pc me inbuilt option hota hai.



Disk Defragementation karane ke liye.
Go to Start -> All programs ->Accessories -> System tools -> dfrgui waha se apna drive select kare ke defragement disk pe click kare ya bhi kafi time leta hai.
Disk Derangement kare




Tip 8:
Use Antivirus Software’s:
Sabse important tip aapke pc me antivirus software install hona jaruri hai. Agar aapke pc me antivirus software nahi to ye sabse bada karan hai aapka pc slow ho janeka. Antivirus na hone ke karan aapke pc me virus chale jate hai. Aur aapka pc hang ho jata hai, slow work karane lagata hai.
Mai aapko recommend karta hu ki agar aap paid version nahi le sakate to internet pe bahut se free antivirus software maujad hi jo ki 99% tak aapke pc me se virus remove karate hai.



Dosto Agar aap ye 8 steps ka palan karate hai to aapke pc 100% pahale se Jayda fast working karega. Mai apne laptop ke liye bhi yahi tips use karata hu. Aur aasha hai ki aapko meri ye post acchi lagi hogi. Agar koi bhi problem ho to niche comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. No Battery Is Detected, yeh kaise khatam hoga? Pehle mera laptop battery pe chalta tha par ab sirf light pe.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Ashraf,
      Shayad aapke laptop ki battery kharab ho chuki hai.

      Delete