Hello, Dosto
aaj mai aapko bataunga ki sbi ke saving account, current account ka
balance kaise check kare wo bhi missed call dekar. Isme aapko 1 paise ka bhi
kharach nahi hoga ye suvidha bilkul free hai.
Hum sabhi log
janate hai ki hume kabi bhi apne account balance ki enquiry karane ki jarurat
padati rahati hai. To iske liye aapko kisi ATM par jakar mini statement lena
padata hai, ya phir aapka online internet ka account hona jaruri hai. Ab har
samay hum ye to nahi kar sakate ki ATM par jav mini statement nikalo ya
internet banking use kar lo. Iske liye sbi ne bahut hi badiya suvidha start ki
hai. Aapko kya karana hai sirf 1 baar apne mobile ko registet karana hai aur
phi sirf missed call se hi aap apna account balance check kar sakate hai.
Missed Call Balance Enquiry Ke Liye Kya Kya Jaruri Hai?
1. Bank Account
Ke Sath Jo Mobile Number Register Hai Wo
2. Account
Number
Services:
Iske jariye aapko
niche ki suvidhaye milegi
1. Balance
Enquiry
2. Mini
Statement
3. Blocking Of
ATM
Service Activate Kaise Kare?
Iske liye aapko
sirf 1 bar registration karana hai. Ek bar registration karane ke bad aap in
services ka use kabhi bhi missed call dekhar kar sakate hai.
Step 1:
Registration
Karane Ke liye aapke register mobile se niche ka message type kare.
‘REG (space) account number' to
09223488888
E.g. REG
12345678901 Aur is message ko send karana hai 09223488888 is number par.
Step 2:
Aapko ek return
message aayega jisme Regsitration successful ya unsuccessful hua hai ya hoga.
Agar registration successful ho gaya hai to aap in suvidha ka use kar skate
hai. Agar resgitration unsuccessful hua hai to phir message format ek bar tik
se check kare aur phir bhi na ho to apni bank ke branch me jakar mobile number
update kar le.
Balance Check Kare?
Ab aapka
registration ho gaya hai ab aapko niche diye gaye services ke hisaab se missed
call ya sms karana hai.
1. Balance
Enquiry:
Agar aapko sirf
balance janana hai to aap missed call ya sms kare ‘BAL' to 09223766666
2. Mini
Statement:
Agar aap mini
statement chahate hai to missed call ya sms kare ‘MSTMT' to 09223866666
3. Blocking Of
ATM:
Agar aapka ATM
Card kahi kho jata hai ya chori ho jata hai to aap sms se bhi atm block kar
sakate hai. Lekin mai aapko ye recommend karunga ki sms karane ke bajaya aap
apni bank me jakar hi atm block karavaye.
For More
Details See Official Site Of Sbi: Here
To is tarah aap
sirf missed call dekhar apna balance check kar sakate hai wo bhi bilkul free
me. Iski liye aapko koi bhi charge nahi lagega. Agar aapko full services ke
bare me janana hai to aap SMS ‘HELP’ to 09223588888 kare. Aapko full list mil
jayegi.
Agar aapko iske
bare me koi bhi problem aa rahi hai to niche comment karake humare sath jarur
share kare jisse hum use slove karane ki koshih karenge.
Mujhe ATM card mila pr pasword nahi mila mai kya karu
ReplyDelete@ Amir,
DeleteAapka jis bank me account hai us bank me apna ATM Card le ke chale jayiye aur waha se apna ATM Password (pin) collect kar lijiye. ATM pin hume bank me jake lena padata hai.
sir Missed call karne k baad joh apne
ReplyDeletea/c mai msg aate hai uska koi
charge kaatega kya bank ,,,
or katega to kitna katega
@ Omveer,
DeleteJi haa iske liye charge lagega jo har 6 month ko aapke bank account se kum hoga. Iske liye charge accurate pata nahi lekin 30-40 Rupees tak lag sakata hai.
Sir m jo apne bataya thik vesa hi kiya but hua nhi account no. Invalid bata raha h
ReplyDelete@ Arun,
DeleteJis account number ke liye karana chahate hai usi account number ko jo registered mobile number hai usse hi message karana hai.
Mere number pr cash withdraw krne pr msg nhi ata aisa q hota h sir...?
ReplyDelete@Prabhat,
DeleteBank account me mobile register hai aur phir bhi message nahi aata hai to aap SBI customer care se bat karlo.
ReplyDeleteDe-Registration: ka mtlb kiya hota h plz riply
@Shajiya,
DeleteYane remove kar dena. Hata dena.
Sir 3-4 Day se call nii lg rha hh kya problem hh....call ended bta rha h
ReplyDelete@Govind,
DeleteBank ke server ka problem hai, aap try kariye ho jeyega.