Hello, Blogger Aaj hum behat hi basic but imortant topic par bat karane wale hai. Bahut se new blogger honge jo blog banane ke bad unke man me ye sawal aata hai ki blog ke homepage pe hum kaise 5, 7 post show kare to aaj mai aapko yahi iss post me batane wala hu.
Homepage Pe Limited Post Rakhane Ka Kya Fayada:
Homepage Kya Hota Hai:
Jab bhi koi
user aapki site open karata hai uske saamane pahale jo page open hota hai use
homepage kahate hai.
E.g. Agar koi
meri site www.hindimeearn.com ko open karega tab uske samane jo page open hoga wo meri site ka
homepage hoga.
Homepage aapki
site ka main page hota hai. Agar aapki site ka homepage hi jayada accha nahi
hai to visitor aapki site ko visit nahi karenge. Homepage pe humari latest post
show hoti hai.
Homepage pe
limited post rakhane se humare blog ki laoding speed bahut hi kum ho jati hai.
Jise visitor ko humara blog open karane me koi bhi pareshani nahi hoti aur blog
ke visitor badh jate hai. Aur dusari taraf seo ke hisaab se blog ka bounce rate
kum ho jata hai. Aapke blog ki loading speed 3-4 seconds honi chahiye.
Homepage pe Limited Post Kaise Show Kare:
Mai aapko ye
recommend karata hu ki aap apne blog ke homepage se kum se kum 5 aur Jayda se
Jayda 7 hi post ko show kare yesa karane se aapki blog loading speed bahut hi
kum ho jayegi.
Niche maine 2
tarike bataye hai aap koi bhi 1 tarika use kar sakate hai.
Way 1:
Step 1:
Blogger.com pe
chale jaye apne account me login kar le.
Step 2:
Setting me
=> Posts and Comments Me Chale Jaye.
Step 3:
Right side me
aapko posts me Show at Most ka option dikhayi dega usme aapki homepage pe
kitani post show karani hai ye dalana hai.
Step 4:
Setting save
kare aur blog ka homepage check karle.
Way 2:
Step 1:
Apne blogger
account se niche layout option me chale jaye.
Step 2:
Layout option
me jate hi aapko blog posts ka segement dikhayi dega. Niche diye gaye screen
shot me dekh le.
Step 3:
Edit par click
kare. Ek popup window khul jayegi. Number of post on mainpage is option me aap
homepage pe kitani post show karana chahate hai wo dalkar setting ko save kare.
Step 4:
Finally Save
arrangement pe click kare. Blog ko open karake dekh le.
To in dono
tariko se aap apne blog ke homepage pe kitani post show karawani hai ye set kar
sakate hai. Agar aapko isme koi bhi pareshani ho to niche comment jarur kare.
Aur aapko humari ye post kaisi lagi ye bhi jarur bataye.
Aur blogging se
related koi bhi pareshani ho to wo bhi batana na bhule.
0 Comments: