Apni Site Ya Blog Ko Alexa Me Submit Aur Verify Kaise Kare

Alexa ye ek Amazon company ki website hai jo humare blog ya site ke liye analytic tool ka kam karati hai. Alexa ka kam ye hai ki humare blog ka globally rank, country rank show karati hai. Agar aapka blog ya website hai to aapke liye alexa kya hai ye samajana jaruri hai.

Submit and Verify Site On Alexa

Blog Pe Alexa Rank kyon Show Kare?

Jo new blogger hai unke man ye sawal jarur aata hoga ki kya jarurat hai apne blog ko alexa me claim aur verify karane ki?
To agar apne blog ya site paise kamane ki liye banayi hai, agar aap apne blog pe advertisement se paise kamane chahate hai to aapko apni site pe alexa rank show karana padata hai. Kyon ki jayada tar advertiser aapki site ka alexa rank dekhakar aapki site ko judge karate hai. Aapki site ka alexa rank jitna kum hoga utni aapki site popular hai yesa mana jata hai.
Aur to aur jo blogger, professional log hote hai wo bhi aapki site ka alexa rank dekhakar hi visit karate hai.




E.g. Agar aapki site ka global rank 5000 hai iska matlab aapki site world me 5000 number par aati hai.
Agar aap site se advertisement ke jariye paise nahi kamana chahate hai to aapko apni site ko alexa me verify karane ki koi jarurat nahi hai.





Alexa Me Site Claim Aur Verify Kaise Kare:

Alexa aapko 2 types ki service provide karati hai 1 hai free dusari paid hume free ki hi service ka use karana hai.

Step 1:
Alexa ki site pe chale jaye: Alexa.com

Step 2:
Uske bad apni site ka URL box me dale Aur continue pe click kare.

URL Dalkar Continue Pe Click Kare


Step 3:
Uske bad aapke samane ek window aayegi, agar aapka pahale se alexa pe account hai to sign in kare agar nahi hai to account bana le.



Step 4:
Ab aapko site verify karane ke liye 3 methods dikhayi degi usme se option 2 select kare.

Method 2 ko Select Kare


Step 5:
Ab aaapke samane html code aayga use copy kar le.


Code Copy Kare



Step 6:
Copy kiye gaye code ko blog me paste karana hai. Blogger.com ke dashboard pe chale jaye. Phir blog template ko html me open kare. Aur Ctrl + F key press kare aur <head> search kare. <head> ke niche wo code paste kare. Template ko save kar de.


Code ko Head Me paste Kare




Step 7:
Code paste kar dene ke bad alexa ki site pe aaye aur verify my site pe click kar de. To aapke samane site successfully verified ka message dikhayi dega. Ab alexa ki dashboard pe jakar apnis ite ka rank check kar sakate hai.
Site Successfully Verify Ho Gayi



Step 8:
Alexa ki dashboard pe jakar apni site ki puri information fill up karde. Jaise blog title/ description, contact details etc.





Is tarah hum simple tarike se site ko alexa me verify kar sakate hai, agar aapko iske related koi bhi problem ho to niche comment jarur kare.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

10 comments:

  1. Sir Blog ko verify karne ke liye Html Tag ko kaha or kaise upload kiya jata hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mr Manish,
      Alexa ab free nahi hai, isliye ye upar di gayi method shayad kaam naa aaye, HTML tag ko template me head ke niche paste karna hai.

      Delete
  2. Sorry sir mai janana चाहता था html file upload kaise kare search console me blog verify के liye

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mr Manish
      Search Console ka old version open kariye -> usme apni site add kariye -> aur verify ke liye meta tag select kijiye -> ab meta tag ko blogger template me head ke niche paste kariye aapki site verify ho jayegi.

      Delete
  3. Sir html file upload nhi kiya ja sakta hai html or domin name se blog ko mai verify kar chuka hu

    ReplyDelete
    Replies
    1. @MR manish,
      verify kiya hai to phir koi jarurat nahi.

      Delete
  4. Sir aise hi janana chahata tha kyoki is trick ke bare me kisi ne nhi bataya hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Mr Manish,
      Aapko Iske bare me youtube ya phir google par post mil jayegi.

      Delete
  5. Sir mai Coding Sikhna chahata hu Lekin mujhe ye nhi malum hai ki kya करू sir बताये थोड़ा deatil me

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Uske liye aap W3schools aur Tutorialpoints site ki help lekar kar sikh sakate hai.

      Delete