Hello, Blogger Search Engine Optimization Bahut Hi mayane rakhata hai apne site ko search engine me
index karanme me. SEO Follow karate samay aapko bahut si bate dyan me rakhani
padati hai useme si hi aaj hum 2 factors ke bare me bat karenge.
SEO follow karate samay no follow aur do follow kya hata hai. New blogger ko to inke bare me jarur jankari honi chahiye. No Follow aur do follow ek link hoti hai. Is ko vistar ko samajane ke liye aap pahale backlinks ke bare me jan le.
SEO follow karate samay no follow aur do follow kya hata hai. New blogger ko to inke bare me jarur jankari honi chahiye. No Follow aur do follow ek link hoti hai. Is ko vistar ko samajane ke liye aap pahale backlinks ke bare me jan le.
No follow Aur Do Follow Janana Jaruri kyon hai?
Agar aap blogging me carrier karana chahate hai aur google adsense
se earning karane ke soch rahe hai to phir aapko do follow aur no follow ke
bare me janana jaruri hai. Kyon hum humare site pe other sites ke links dete
hai par is links ka aapke seo aur google adsense se kafi gharaha sambadh hai.
Kyon ke agar Galati se aapne kisi galat site ka link apne siteme add kar diya
to apki site google me index nahi hogi aur to aur aapka adsense account bhi
disable hone ki sambhavana hoti hai.
No Follow Kya Hota Hai?
No follow ye HTML ka
attributes hai jo link me use hota hai. Example ke taur par <a href=”www.hindimeearn.com”
rel=”no follow”> My Site</a>
Jab hum link me no follow add kar dete hai tab google bots jo hai
use link ko ignore kar dete ha. Wo link search engine ke liye na ke barabar
hoti hai.
No follow links ko search engine index nahi karate ye sirf human ke
liye hota hai jise sirf hum dekh sakate hai. No follow ka main udesh ye hota
hai ki spam sites result me na aane paye aur jo quality links hai wo search
engine me aate rahe.
Isliye jab aap blogger ya wordpress me comment karate hai aur waha
se aapko jo backlink milata hai wo no follow hi hota hai.
Þ Apne Site Ka Mouse Cursor Kaise Change Karate Hai
Blog me no follow links kaise add kare.
Blogger ki post editing me chale jaye. Aap ko jis link ko do follow
karana hai us link ko select kare aur change pe click kare. Uske bad aapke
samane ek popup box khul jayega usme Add’rel=nofollow’ attributes ko
select karake ok kar de.
Do
follow Kya Hota Hai?
Do follow ka matlab aap uske naam se hi samaj jayenge. Do follow
bhi ek html ka attribute hai, jiska matalab hota hai link ko follow kare.
Jab aap kisi hyperlink ko do follow karate hai to google bots ye
link dekh sakate ha. Search engine do follow links ko index karata hai.
Do follow links ko user aur search engine dono access kar sakate
hai.
e.g.
<a href=”www.hindimeearn.com> My Site</a>
Kisi bhi links ko do follow banane ke liye kuch karane ki jarurat
nahi hoti jab aap koi link add karate hai to wo by default do follow hi hoti
hai.
Ab aap ye to samaj gaye hoge ki no follow aur do follow me kya
difference hai, to ab hum ye janenge ki do follow aur no follow kaha use kare.
No Follow Kaha Use Kare:
1. Low Quality KI Link Pe:
Agar aap apni kisi post me low quality sites ka link dena chahate
hai to use no follow kar de.
2. Comments Me:
Blogger ho ya wordpress sabhi me jo comments links hote hai use bhi
no follow hi rakhana hai.
3. Affiliated Sites and Banner:
Agar aap apni site pe affiliated earning karate hai to use link ko
bhi no follow hi rakhe aur jo banner hote hai usme bhi no follow use kare.
Do Follow Kaha Use Kare:
1. Internal Links:
Jab aap blog me internal links use karate
hai to us do follow hi rakhe. Waise to wo by default do follow hi hoti hai.
2. Trusted Sites:
Agar aap kisi site ke bare me likh rahe hai aur aap us site pe 100%
trust karate hai to use bhi do follow rahane de.
To aap easily samja gaye honge ki do follow aur no follow hum kaha
use kar sakate hai. Agar iske realated aapko koi bhi problem ho to niche
comment me jarur puche.
hello sir
ReplyDeleteapke hisab se kaunsa template best he?
@ Gourab,
DeleteMere hisab se dus mag, palki2, hotmag etc. Aur bhi kayi sari template hai aap ye read kariye.
Best Template