Aaj hum baat karenge computer se related general questions aur unke answers ke bare me. Hum jab kabhi kahi interview ke liye chale jate hai tab use computer se related bhi questions puche jate hai, to ye questions aapke liye useful honge.
Computer aaj
kal har jagah par use ho raha hai. Aaj ki duniya me computer ki kya value hai
hum sab janate hai. Jab hum computer se related koi job ka interview dene ke
liye jate hai tab hume computer se related koi questions puche jate hai. Maine
wahi basic questions aur unhe answer niche diye hai.
Computer Se Related Questions and Answers:
1. Computer Kya
Hai?
Computer Ek
Electronic Machine Jo User Se Input Leta Hai, Uspe Processing Karata hai, aur
output devices ke jariye user ko output dete hai.
2. Input
Devices?
Input devices
yane jin devices se hum computer ko input provide karate hai unhe input devices
kaha jata hai.
E.g. Mouse,
Keyboard, Scanner
3. Output
Devices?
Output devices
un devices ko kaha jata hai, jin devices ke throw computer output provide
karata hai.
e.g. Monitor, Printer,
Sounds etc.
4. Memory Kya
Hai?
Memory ka upyog
computer data aur programs save karane ke liye hota hai. Memory ke different
type’s hai.
Primary Memory: Ye memory temporary hoti hai is me jo data hota hai wo tab tak hi
rahata hai jab tak humara computer shuru hai.
RAM: Random
Access Memory
Computer jo
data process kar raha hota hai wo RAM me store hota hai. Agar bijali chali jaye
to wo data save nahi rahata hai, isliye isko tem
ROM: Read Only
Memory
Ye memory me jo
data hota hai use sirf hum read kar sakate hai. Usme hum kuch badlav nahi kar
sakate.
Secondary
Memory: is memory me hum jo data aur programs save
karate hai wo finally save hota hai, yane hum us data ko agar aaj save kare aur
2 saal bad dekhe to wo data jaise ko taisa hoga.
e.g. Hard Disk,
Pen drives, Memory Card, CD, DVD
5. Software kya
hota Hai?
Software ye ek
program hota hai, jo coding, se bana hua hota hai. Ye collection hota hai,
coding ka.
Software ke
main 2 type’s hote hai, System software and application software.
System Software: Ye software computer ko control, manage karane ke liye banaye
gaye hai.
e.g. operating
system, compiler, interpreter etc.
Application
Software: Ye software user ke liye banaye gaye hai. Jinaka use aam aadami
karate hai, yani hum khud.
e.g. MS Office,
Adobe Photoshop, Browsers.
6.
Browser Kya Hota Hai?
Browser ye ek
application software hai jiska use internet chalane ke liye hota hai. Agar
humare computer me browser nahi hoga to hum internet nahi use kar sakate hai.
Browser ke main use hota hai internet surfing.
e.g. Mozilla
Firefox, Google Chrome, Internet Explorer
7. Number
System Kya Hoti Hai?
Computer ko
humari language (bhasha) samjah me nahi aati. Computer ko sirf binary
language (0,1) ki bhasa samaj aati hai.
O,1 in number
me se kisi ek number ko bit kahate hai.
8 bit - 1 byte
1024 byte – 1kb
(kilobyte)
1024 kb – 1 mb
(megabyte)
1024 mb – 1 Gb
(gigabyte)
1024 Gb – 1 TB
(Terabyte)
8. CPU Kya Hai?
CPU ko central
processing unit kaha jata hai. CPU ko computer ka brain kaha jata hai, iske
alwa humara computer kisi kam ka nahi. CPU computer ko manage, control,
processing ka kam karata hai. CPU ke main three parta hote hai.
ALU- Arithmetic
Logical Unit
Ye computer me
jo addition, subtraction, multiplication or logical work karata hai.
MU- Memory Unit
Ye memory se
related kam karata hai.
CU- Control
Unit
Ye unit
computer ke jo kam hai unko manage, control karane ka kam karata hai.
9. Operating
System Kya Hai?
Definition: Operating
system is a system software which provide interface between human and computer.
Operating
system ek system software jo computer ki sabhi work ko manage, control karane
ka kam karati hai.
e.g Windows XP,
Windows 7,8,10, Unix, Linux etc.
Operating
System Ke Types:
Batch Operating
System
Time sharing Operating
System
Distributed Operating
System
Networking Operating
System
Real time Operating
System
10. HTML Kya
Hai?
HTM:- Hypertext
markup language hai jiska use webpage design aur develop karane ke liye kiya
jata hai.
Html ka hindi tutorial
aap yaha pe read kar sakate hai.
11. Computer Se
Related Kuch Full Forms:
PDF – Portable Document
Format
URL – Uniform
Resource Locator
USB – Universal
Serial Bus
BIOS- Basic
Input Output System
CRT- Cathode
Ray Tube
LCD – Liquid Crystal
Display
LED- Light Emitting
Diode
CD- Compact
Disk
DVD- Digital Versatile
Disk
CMOS-
Complementary metal-oxide semiconductor
HTTP- Hypertext
Transfer Protocol
TCP/IP-
Transmission Control Protocol/ Internet Protocol
Agar aapko
computer se related koi aur Jankari chahiye aur aapke man me koi sawal hai to
niche comment me jarur bataye.
0 Comments: