Mobile Aur Pc Se Deleted Data Ko Recover Kaise Kare Jane Hindi Me


Hello, Dosto aaj mai aapke sath ek bahut hi badiya tip share karane wala hu ki kaise hum delete huye apne data, documents ko phir se recover kar sakate hai.
Android Mobile Aur Pc Ka Data Recover Kaise Kare


Aap to janate hi hai ki aapke mobile ya phir pc, laptop me jo data hota hai wo aapke liye kitana important hota hai. Kabhi-Kabhi kya ho jata hai accidently hum se data delete ho jata hai agar hum pc use kar rahe hai aur data delete ho jaye to koi problem nahi hum recycle bin se use vapis la sakate hai. Magar aap ka data mobile ya phir pen drive se deleted ho jaye ya format ho jaye to aap kya karenge?
To chaliye mai aaj aapko kuch yese software ke bare me bataunga ki unki madad se aap deleted, formatted ya phir crashed data ko kaise recover kar sakate hai.




   1.  7 Data Recovery


7 Data Recovery 1 badiya recovery software hai jiski madad se hum apna data reover kar sakate hai.

Iski madad se hum Audio (mp3), video (mp4, 3gp, mkv, avi etc), jpeg, png, apne sabhi documents (.docx, .pdf, .xls) ye sabhi recover kar sakate hai.
Iski madad se aap aapke pen drive, memory card, ya hard disk in sabhi ka data wapis pa sakate hai.
Lekin iska jo free version hai uske keval aap 1gb tak hi recover kar sakate hai agar aapko use jyada recover karna hai to aapko ise kharidana padega.
Aapko ise download karne ke liye sirf google me search karna hai. Aur aapke pc me install karana hai. Ye windows 10,7, 8, 8.1 ke liye available hai.



Android Mobile Ka Data Kaise Recover Kare 7 Data Recovery ki madad se.


  1.  Install
Aapne 7 data recovery install kar liye uske bad apko apna mobile pc se connect karna hoga usb cable ki madad se.
  2.  Scan
Phir 7 data recovery software me jaye waha se aapko option dikhayi dega android recovery uspar click kar de wo aapke mobile ko scan kar dega aur jo data delete hua hai use dikhayega.
  3.  Recover
 Phir aapko jo data chahiye use select karne recover pe click karana hai.
Also Read:

   2.  Ease Us Data Recovery Wizard :

Ye mera favourite software mai yahi use karata hu agar mujhe koi data recover karan hai to. Ye software 12 years se market mai hai ise aap andaza laga sakate hai ki ye kitana popular hai.
Isme aapko pc ke liye alag aur Android mobile ke liye alag software download karana padata hai.

EaseUs ki madad se aap sabhi tarah ki files recover kar sakate hai jaise ki audio, video, document, etc.
Iske free version se aap 2 GB tak ka data wapis pa sakate hai. Agar aapko unlimited data recover kar sakate hai.

Windows 10, 8, 7, Xp aur vista in sabhi operating system ke liye available hai. Isme aapko dono version (32 bit, 64 bit ) available hai. Aur to Aur ye MAC operating system ke liye bhi available hai.




Android Mobile Ke liye Kaise Use Kare:

EaseUS-MobiSaver for Android Free      www.easeus.com

Is link pe jake download kar le. Iski madad se aap apne contact, sms, photos, video recover kar sakate hai.

1.    Download karke ise apne pc me install kar le.
2.    Aapna mobile pc se connect kar le aur waha yane software se scan kar le files.
3.    Jo files chahiye use select karke recover kar le.

3. WinMend Data Recovery

Ye bhi 1 badiya software hai jis se aap quick scan, full scan karake apne lost data ko recover kar sakate hai. Ye sirf pc ke liye avalibel hai. Iska bhi free aur paid version hai.

4. Recuva- File recovery
Recuva ye another file recover karane ka aasan tarike ka software hai. Iski khasiyat ye hai ki ise piriform team ne banaya hai. Agar aapko pata nahi ki piriform kya hai to mai aapko batata hu piriform ka bahut sare software hai aur unka sabse popular software hai ‘C Cleaner ‘. C cleaner apki temperory files, cookies, ko delete kar deta hai.


5. Pandora Recovery
Ye bhi ek badiya sa recovery software hai jiski madad se aap lost files ko recover kar sakate hai. Apko kya karana hai google me Pandora recovery free download karke search karana hai. Aur us software ko download karke install karana hai.

Maine aapko 5 badiya data recovery software isliye bataye hai free version me aap 1-2 GB tak hi data recover kar sakate hai. Agar aapko jyada data recover karna hai to aap ek ek karke in software ko install kar le aur apni need ke anusar data recover kar le.
Aasha karata hu ki aapko ye post acchi lagi hogi aur ye aapke kam ki hogi. Agar aapko bhi acchi lagi ho to social media par apne dosto ke sath share karana na bhule.


Aur agar koi problem ho to comment karana na bhule.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

1 comment:

  1. Bahut badhiya jankari share ki hai aap ne.
    Keep it up bro.

    ReplyDelete