Google AdSense kya hai,adsense kaise approve kare, google adsense in hindi Google Adsense Ke Liye Kab Apply Kare, Adsense Account Kaise Banaye, Google adsense approval tips in hindi. Har ek blogger
ki yahi tammana hoti hai blog banane ke baad google adsense jaldi se jaldi
approve ho jaye. Google adsense kya hai, blog par daily kitni traffic honi
jaruri hai in question ke answer aapko is post me mil jayenge. To is post me
yahi bataunga ki google adsense ko kab aaply kare aur apply karane se pahale
kuch baate reakhe dyan me.
Google AdSense Kya Hai?
Google adsense
ke sabse popular aur badiya ad network hai, jisse har ek blogger acchi income
kar sakate hai. Google adsense world ka popular adsense network isliye hai kyon
ki ye time pe payment karata hai aur iska click rate bhi bahut badiya hai.
Lekin google adsense ki kuch policies hai jo blogger in policy aur requirement
ko follow karate hai unka adsense jaldi approve ho jata hai.
New blogger kya
karate hai 4-5 post likhate hai aur adsesne ke liye aaply kar deta hai. Aur
unka adsense disapprove ho jata hai. Unhe pata nahi hota ki adsesne ke liye kab
aaply karana jaruri hai.
Google Adsense Ko Kaise Apply Kare?
Aap google
adsnese ko apply karana chahate hai to iske 2 tarike hai.
1.
Blog/Website:
Agar aap
adsense ko liye aaply karana chahate hai to aapke pass ek blog ya website honi
jaruri hai. Blog banana bahut hi aasan aur easy hai 5 minutes me aap khud ka
blog bana sakate hai. Niche di gayi post ko read karake blog banana sik sakate
hai.
2. YouTube:
Aap youtube pe
videos upload karke google AdSense ke liya aaply kar sakate hai.
Apply Karane Se Pahale Ye Baate Rakhe Dyan Me
New blogger ke
man me ye question aata hai, ki blog banane ke bad adsense ke liye kab aaply
kare. Blog pe kitne visitor hone jaruri hai, Kitni post honi jaruri hai.
To mai jo aapko
kuch baate batane ja raha hu wo dyan me rakhe.
1. Blog Design:
Blog ki design
acchi honi jaruri hai. Aur blog me contact us, about us, privacy policy page
hone jaruri hai. Agar ye pages aapke blog me nahi hai to in page ko add karle
aur uske bad hi aaply kare.
Aur adsense
friendly, responsive template ka use kare taki aap ads code ko acche se
template me add kar sake.
2. Post Kitani
Ho:
Hek ek new
blogger ke man me yahi sawal aata hai ki kitni post jaruri hai. Lekin mai
kahunga ki post ki waise to koi accurate limit nahi hai par aapke site pe kum
se kum 15-20 quality post ho to approve ke chances jayada hai. Aur agar post 50
se upar hai aur unique hai to phir aapka account approve hone me koi dikkat
nahi hogi.
3. Daily
Traffic:
Ye another
important factor hai. Blog pe daily traffic kitni honi chahiye. To mai aapko
batana chaunga ki, aapke blog ke liye search engine se daily 500+ pageview aane
chahiye. To approval ke chances 99% hai. Aur agar aapke blog ki traffic 300+
hai to approval ke chances 70-80% hai.
4. Content:
Sabse important
baat ke aapke site pe original aur unique content hone chahiye. Aapne kahi se
bhi copy kiya gaya content nahi use karana hai. Aur images bhi copyrighted nahi
honi chahiye. Agar aapke blog pe 1% be copyrighted content mil gaya to aapka
adsense 100% disapprove ho jayega.
5. Other
Advertisement Remove Kare:
New blogger
yaha ek galati kar dete hai. Agar aap blog pe another site ki advertisement use
kar rahe hai jaise chitika, bidvertiser to inke jo ads hai unko aapko remove
karana padega. Agar aap in ads ko use karoge to aap google adsense nahi use kar
sakate hai.
6. SEO Follow
Kare:
Blog ko sabhi
search engine me add kare. Agar aapko adsense approve karavana hai to aapko seo
ko follow karana padata hai. kyon ki google aapke blog ko sabhi tarah se check
karata hai. Agar aap blog pe traffic badane ke liye koi galat method use kar
rahe hai to bhi aapka account disapprove ho jayega. Isliye seo kya hota hai,
blog me seo ko kaise follow kare iske bare me jarur jan le.
Agar aap in
chijo ko follow karke agar adsense ke liye aaply karate hai to aapka adsense
jarur approve ho jayega. Agar iske related aapko koi question ho to jarur
comment me bataye.
बहुत ही उपयोगी और ज्ञानवर्धक लेख की प्रस्तुति। पूरा लेख बहुत ही शानदार तरीके से लिखा गया है।
ReplyDelete#Jamshed Ji Thank's Aapke Support Ke Liye.
ReplyDeleteaapne adsense apply ke bare me bhut achhi post likhi hain mai ese jrur follow krunga
ReplyDeleteThanks sir