बैंक में rtgs और नेफ्त क्या होता है ? Hello, Dosto Mai aaj aapko bataunga ki jab hum bank me paise transfer karate hai tab RTGS aur NEFT kya hota hai. Hume agar kisi ko paise transfer karana chahate hai to aap inme se koi bhi ek method ka use kar sakate hai. Iske liye aapko ye samajana hoga ki NEFT Aur RTGS Kya hota hai, isme kya difference hai.
RTGS And NEFT Kya Hota Hai?
RTGS aur NEFT
ye do method hai India me ek bank se dusare bank me paise transfer karane ki.
Ye methods India Ke Lagbag sabhi bank me available hai.
RTGS- Real Time Gross Settlement Kaha jata hai. RTGS paise transfer
karane ke liye use hota hai. Iske liye aapko apne bank me jakar RTGS ka form
fill up karana hota hai.
RTGS Ke Jariye
aap kum se kum Rs.2 Lakhs aur maximum Rs.5 Lakhs tak transfer kar sakate hai.
NEFT- National Electronic Fund Transfer kaha jata hai. NEFT ka bhi use paise transfer karane ke liye kiya jata hai.
NEFT ke jariye
hum Rs.1 se Lekar maximum Rs.5 Lakhs tak transfer kar sakate hai.
RTGS aur NEFT Ke Jariye Paise Transfer Kaise Kare?
Agar aap kisi
ko paise transfer karana chahate hai to in 2 methods ka use kar sakate hai.
Bank me jakar isme se koi ek form lekar fill up kar le. Aur bank me bhar de.
Beneficiary:
Beneficiary
yane hum jise paise transfer karana chahate hai uska naam aur account number
malum hona jaruri hai. Jis bank me paise transfer karana chahate hai us bank ka
IFSC Code bhi hona jaruri hai.
Applicant:
Applicant yane
khud hum hote hai. Isme bhi humko aapna name, account number ye sub malum hona
jaruri hai.
RTGS & NEFT Ke Liye Time Aur Fess Kitni Lagati Hai?
RTGS Ke Jariye
Hum Agar Paise Transfer karate hai to 2 ghante me apke paise transfer ho jate
hai. RTGS hum kabhi bhi kar sakate hai sirf bank holidays chodkar.
RTGS Ke liye
fees Rs.5-25 tak lag sakati hai wo depend karata hai aap kitna money transfer
kar rahe hai.
NEFT ke jariye
hum agar paise transfer karate hai to iske liye time settlement ki gayi hai.
Iske liye bhi jayada se jayada 2 hours tak ka time lag sakata hai. NEFT Ke liye
bhi fess Rs.5-50 tak lag sakati hai wo aapke transferring amount pe depend karata
hai.
Transferring Fail Ho Jaye To?
Agar kisi wajah
se aapke paise transfer nahi ho jata hai to fikar karane ki koi jarurat nahi
hai. Aapke paise return aapke account me aajate hai.
Agar aap isse
related aur Jankari chahate hai to sbi ki site pe
jake check kar sakate hai.
Agar aapko iske
bare me koi dikkat ho to niche comment karana na bhule.
Sir may SBI ka net banking use Marta hu aur may koi other bank ka account add Marta hu to oh Sirf rtgs may hi so kar raha hai NEFT may nahi kar raha hai rtgs aur NEFT dono may so Karen Ke liye may kya karu
ReplyDelete@ Vijay,
DeleteUske liye aapko first beneficiary add karana hoga uske liye ye read karo.
Sir, Kya? Paisa transfer ke liye cheque book hona jaruri hai
ReplyDelete@Brijesh,
DeleteNahi passbook jaruri nahi hai.
Sir jyada se jyada kitana samay lagta hai paisa transfar hone me rtgs ke thrue
ReplyDelete@Rishavh,
DeleteBanking hours me Maximum 3-4 hours me transfer ho jayega.