How To Add Beneficiary To Transfer Money From SBI To Other Bank

SBI India ki sabse popular bank hai. Jo sabse acchi services apne customer ko provide karati hai. SBI Internet banking ki help se to hum koi bhi kam ghar baite kar sakate hai. Fund transfer, online payment, bank statement check karana etc. Aaj is post me hum janenge ki NEFT fund transfer karane ke liye beneficiary kaise add kiya jata hai.

Add Beneficiary in SBI

Beneficiary Kya Hota Hai?

Jab hume kisi bhi bank me kisi ko online paise transfer karane hote hai tab hum jise paise transfer karana chahate hai usko beneficiary kaha jata hai.


Internet banking ke jariye agar hume kisi ko paise transfer karane hai to sabse pahale hume usko beneficiary add karake approve karana padata hai. Aap directly paise nahi transfer kar sakate.
Hum yaha be SBI Net Banking ke me beneficiary kaise add karate hai ye janenge. Add karane ke bad aap NEFT ki help se paise transfer kar sakate hai.



Beneficiary Kaise Add Kare:

Step 1:
SBI ki website pe jake apne user id aur password ki help se log in karle.

Step 2:
Log in karane ke bad me aapke samane ek option hoga Profile us pe click kare. Uske bad Manage Beneficiary pe click karde.

Profile Manage Beneficiary Pe click Kare
Profile Me Jake Manage Beneficiary Pe click Kare


Step 3:
Ab aapko Profile Password Pucha jayega. Aapke account ka jo profile password hota hai wo aapko dalana hai.


Step 4:
Ab aapke samane beneficiary ki list hogi.
1. Intra- Bank Beneficiary:
Yaha pe aap SBI to SBI kisi bhi bank, branch me paise transfer kar sakate hai.
2. Inter – Bank Beneficiary:
Isme aap SBI to Other Kisi bhi bank me fund transfer kar sakate hai.

Aapko jis bank me fund transfer karana ha uske hisab se upar ke option me se ek option select kare.


Intra-Bank Beneficiary Pe Click Karde
Intra-Bank Beneficiary Pe Click Karde
Step 5:
Ab aapko beneficiary ki details deni padegi (Maine Intra-bank select kiya hai)
Name: Jise paise transfer karane hai uska naam
Account Number:
Confirm Acc. Number:
Transfer Limit: Yane aap jayada se jayada kitne paise transfer karana chahate hai.
Niche submit pe click kare.

Sabhi Details Fill karde
Sabhi Details Fill karde


Step 6:
Ab next me aapko approve now pe click karana hai.

Approve Now Pe click karde
Approve Now Pe click karde


Step 7:
Agae aapko approval type me Approve beneficiary pe click karana hai.

Approve Beneficiary Pe Click Karde.
Approve Beneficiary Pe Click Karde.


Step 8:
Next step me aapko approve through OTP pe click karana hai, aapke register mobile number pe ek high security code (OTP) send kiya jayega.

OTP Ke Through Approve Kare
OTP Ke Through Approve Kare


Step 9:
Jo aapke mobile pe code aaya hai use dalkar approve pe click karde.

OTP Dale
OTP Dale


Step 10:
Ab aapko ek message dikhayi dega. “You have successfully added beneficiary” ka.
Message Dikhayi Dega.
Message Dikhayi Dega.


Beneficiary add kar diya hai us approve hone me 4 hours lagate hai.

Beneficiary Add Karane Se Related kuch FAQ’s:

1. Beneficiary Add hone me kitna time lagega?
-> Minimum 4 hours lagate hai agar aap din me add karate ho tab. Agar aap me raat me add kiya to jab bank start hoga uske bad 4 hours me approve ho jayega.

2. Maximum Transfer limit kitni hai?
-> Maximum transfer limit 10 Lakhs hai.

3. 1 Din me 1 se jayada beneficiary add kar sakate hai kya?
-> Nahi kar sakate hai. 1 din me 1 hi add kar sakate hai. 

4. Online fund transfer ke liye beneficiary add karana jaruri hai?
-> Yes, it’s compulsory.

Iske alawa aapke man me agar koi sawal hai to aap humse puch sakate hai. SBI net banking se related aapka koi bhi sawal ho aap yaha pe puch sakate hai mai aapki puri help karane ki koshih karunga.

Aapko ye post kaisi lagi comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

2 comments:

  1. Sir sbi net banking se limit money ko kaise btaye. Jiske karan mera balance transfer nhi ho rha hai.

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Manohar,

      Aapka question mere samaj me nahi aaya aap details me bataye ki aapko kya karana hai.

      Delete