SBI India ki
sabse popular bank hai. Jo sabse acchi services
apne customer ko provide karati hai. SBI Internet banking ki help se to hum koi bhi kam ghar baite kar sakate
hai. Fund transfer, online payment, bank
statement check karana etc. Aaj is post me hum janenge ki NEFT fund transfer karane ke liye beneficiary
kaise add kiya jata hai.

Beneficiary Kya Hota Hai?
Jab hume kisi
bhi bank me kisi ko online paise transfer karane hote hai tab hum jise paise
transfer karana chahate hai usko beneficiary kaha jata hai.
Internet
banking ke jariye agar hume kisi ko paise transfer karane hai to sabse pahale
hume usko beneficiary add karake approve karana padata hai. Aap directly paise
nahi transfer kar sakate.
Hum yaha be SBI
Net Banking ke me beneficiary kaise add karate hai ye janenge. Add karane ke
bad aap NEFT ki help se paise
transfer kar sakate hai.
Beneficiary Kaise Add Kare:
Step 1:
SBI ki website
pe jake apne user id aur password ki help se log in karle.
Step 2:
Log in karane
ke bad me aapke samane ek option hoga Profile
us pe click kare. Uske bad Manage Beneficiary
pe click karde.
![]() |
Profile Me Jake Manage Beneficiary Pe click Kare |
Step 3:
Ab aapko Profile Password Pucha jayega. Aapke
account ka jo profile password hota hai wo aapko dalana hai.
Step 4:
Ab aapke samane
beneficiary ki list hogi.
1. Intra- Bank Beneficiary:
Yaha pe aap SBI to SBI kisi bhi bank, branch me paise transfer kar sakate hai.
2. Inter – Bank Beneficiary:
Isme aap SBI to Other Kisi bhi bank me fund transfer kar sakate hai.
Aapko jis bank me fund transfer karana ha uske hisab se upar ke option me se ek option select kare.
![]() |
Intra-Bank Beneficiary Pe Click Karde |
Step 5:
Ab aapko
beneficiary ki details deni padegi (Maine Intra-bank select kiya hai)
Name: Jise
paise transfer karane hai uska naam
Account Number:
Confirm Acc.
Number:
Transfer Limit:
Yane aap jayada se jayada kitne paise transfer karana chahate hai.
Niche submit pe click kare.
![]() |
Sabhi Details Fill karde |
Step 6:
Ab next me
aapko approve now pe click karana
hai.
![]() |
Approve Now Pe click karde |
Step 7:
Agae aapko
approval type me Approve beneficiary
pe click karana hai.
![]() |
Approve Beneficiary Pe Click Karde. |
Step 8:
Next step me
aapko approve through OTP
pe click karana hai, aapke register mobile number pe ek high security code
(OTP) send kiya jayega.
![]() |
OTP Ke Through Approve Kare |
Step 9:
Jo aapke mobile
pe code aaya hai use dalkar approve pe click karde.
![]() |
OTP Dale |
Step 10:
Ab aapko ek
message dikhayi dega. “You have
successfully added beneficiary” ka.
![]() |
Message Dikhayi Dega. |
Beneficiary add
kar diya hai us approve hone me 4 hours lagate hai.
Beneficiary Add Karane Se Related kuch FAQ’s:
1. Beneficiary Add
hone me kitna time lagega?
-> Minimum 4 hours lagate hai agar aap din me add karate ho tab. Agar
aap me raat me add kiya to jab bank start hoga uske bad 4 hours me approve ho
jayega.
2. Maximum
Transfer limit kitni hai?
-> Maximum transfer limit 10 Lakhs hai.
3. 1 Din me 1
se jayada beneficiary add kar sakate hai kya?
-> Nahi kar sakate hai. 1 din me 1 hi add kar sakate hai.
4. Online fund
transfer ke liye beneficiary add karana jaruri hai?
-> Yes, it’s compulsory.
Iske alawa
aapke man me agar koi sawal hai to aap humse puch sakate hai. SBI net banking
se related aapka koi bhi sawal ho aap yaha pe puch sakate hai mai aapki puri
help karane ki koshih karunga.
Aapko ye post
kaisi lagi comment me jarur bataye.
Sir sbi net banking se limit money ko kaise btaye. Jiske karan mera balance transfer nhi ho rha hai.
ReplyDelete@ Manohar,
DeleteAapka question mere samaj me nahi aaya aap details me bataye ki aapko kya karana hai.