Android Mobile me Ram, Processor Kya hota hai. What is mobile processor in hindi? Agar aap bhi new android buy karana chahate hai to basic terms ko jarur read kare. Operating system, RAM, aur processor kya hota hai. Ye sub aapko is post me read karane ko milenge. Android OS ek accha seminar topic bhi hai.
Aaj har kisi ke
pass android mobile hai. Par inme se kayi logo ko android mobile ke bare me
puri Jankari nahi hai. Aaj hum android mobile ki basic information ke bare me
janate hai.
Android Operating System Kya Hai?
Android ek
operating system hai, jo September 2008 me Google ne launch kiya tha. Mobile
kisi bhi company ka ho lekin usme opening system android hi hoti hai. Aaj
duniya bhar me lakho log android operating system ka use kar rahe hai. Kyon ki
isme sabse badiya feature hai aur isse har koi easily use kar sakata hai.
Android me har wo kam kar sakate hai jo hum apne computer ya laptop me karate
hai. Aaj paly store par lakho android application available hai.
Operating
System versions Kya Hai?
Google apni
operating system me kafi update karata rahata hai. Aur kuch naye updates apne
user ke liye leke aata hai. To mobile khridate samay latest operating system hi
choose kare.
Android
Operating System Versions:
OS Name
|
Version
|
Release Date
|
Cupcake
|
1.5
|
April 27, 2009
|
Donut
|
1.6
|
September 15, 2009
|
Éclair
|
2.0 – 2.1
|
October 26, 2009
|
Froyo
|
2.2 – 2.2.3
|
May 20, 2010
|
Gingerbread
|
2.3 – 2.3.7
|
December 6, 2010
|
Honeycomb
|
3.0 – 3.2.6
|
February 22, 2011
|
Ice Cream Sandwich
|
4.0 – 4.0.4
|
October 18, 2011
|
Jelly Bean
|
4.1 – 4.3.1
|
July 9, 2012
|
Kit Kat
|
4.4 – 4.4.4
|
October 31, 2013
|
Lollipop
|
5.0 – 5.1.1
|
November 12, 2014
|
Marshmallow
|
6.0 – 6.0.1
|
October 5, 2015
|
Google Play Store:
Google play
store ko android market bhi kaha jata hai. Ye bhi google ki hi ek service hai,
google play store ka application aapke mobile me already install hota hai.
Jiski madad se hum koi bhi application download kar ke install kar sakate hai.
Iske liye aapko sirf ek Gmail id ki jarurat hoti hai. Play store par jo
application hai wo bilkul free of cost hai. Play store pe music, video,
information purpose, web designing etc. ke is tarah ke application available
hai.
RAM
Kya Hai?
RAM ka matlab
hai random access memory. Jis tarah computer me RAM ka use hota hai usi tarah
android me bhi RAM work karati hai. Aapke jo bhi application hai wo jab running
hote hai wo RAM me hote hai. Isliye aapke mobile ki RAM jitani jayada hogi
utana hi fast aapka mobile work karega. RAM jayada hone se mobile hanging ka
problem bhi nahi aata hai.
Processor Kya Hota Hai?
Jis tarah
computer me microprocessor hota hai usi tarah android me bhi processor hota
hai, jiski madad se android apne application execute karata hai. Android ke
liye Quad core, octa core, Intel, exynos etc processor available hai aur iski
speed bhi alag alag hoti hai.
Camera:
Android mobile
me aaj kafi badiya camera facility di gayi hai. Aap iski madad se high quality
ke picture nikal sakate hai. Isme flash light bhi hoti hai. Android me
front and back is prakar ke 2 camera avaliable hai. Camera resolution pixel me
hota hai. ye 2 MP se lekar 16 MP se bhi jayada ho sakata hai.
Battery:
Battery choice
karate samay bhi dyan de. Battery 2000 mAh se lekar 400 mAh tak mil jati hai.
Sim Card Size
and Facility:
Mobile me
kitane sim card support karate hai. Aur sim ki size kya hai mini, micro, etc
dekhana padata hai.
Network Type:
Aapka mobile
kis network ko support karate hai ye bhi aapko mobile karidate samay dyan me
rakhe. Network type me 3G, 4G supported mobile market me available hai.
Ab aapko
android mobile ki basic Jankari samaj me aa gayi hogi. Aur aap new mobile
kharidate samay kon si operating system, RAM, processor lena hai ye baat bhi aapke
samaj me aagaya hoga.
Agar aapko iske
related koi sawal hai to comment me jarur puch sakate hai.
Mobile m battery kitne type ki hoti h our kon kinsi
ReplyDelete@ Amreen,
DeleteMobile battery aur uske types ke bare me jald hi ek article likhenge.