Mobile ka pattern lock kaise khole, mobile ka password kaise tode.
Android mobile ke pattern ko kaise hataya jata hai. Android mobile ka pattern todane ke kayi tarike hai jaise hard reset, google method, by pass method etc. Aaj hum is post me yahi janenge ki android mobile ka pattern kaise thode.
Android mobile ke pattern ko kaise hataya jata hai. Android mobile ka pattern todane ke kayi tarike hai jaise hard reset, google method, by pass method etc. Aaj hum is post me yahi janenge ki android mobile ka pattern kaise thode.
Android Mobile Ka Pattern Lock Kaise Tode : Kayi baar yesa
ho jata hai hum apne android mobile ko pattern lagate hai aur uska pattern hi
bhul jate hai. Ya kisi galati ki vajah se pattern lock pad jata hai. Tab hum
kya karate hai kisi mobile shop par jake apna mobile ka pattern tod kar late
hai jiske liye dukandar aapse paise lete hai. Par agar aap is post ko follow karanege
to aap khud bhi apne mobile ke pattern ko unlock kar sakate hai.
Iske liye hum
niche di gayi methods ka use kar sakate hai.
1. Google
official method
2. Factory
reset method
3. Bypass
method
Pattern Unlock Karane Ki Methods:
1.
Google Official method:
Ye ek common
method hai, jiski help se aap pattern ko ublock kar sakate hai. Hume to pata
hai ki jab phone kharidate hai tab sabse pahale hume google ka account (Gmail)
id banani hoti hai tabhi hum google paly store jaisi services use kar sakate
hai.
First time jo
humane email id dala hota hai uska user name aur password aapko
yaad hona chaiye tabi aap ye method use kar sakate hai.
Step 1:
Sabse pahale
aapko wo email id aur uska password yaad hona chaiye. Agar aapko password yaad
nahi hai to kisi aur mobile se apne Gmail id ka password change karle.
Step 2:
Aapke mobile ki
screen pe 5-6 baar galat password type kare. Ab aapke mobile me Forgot
Password or Forgot Pattern ye 2 option honge usme se kisi ek pe click kare.
Step 3:
Ab aapke samane
kuch options honge jaise se security question dekar aap mobile pattern recover
karana chahate hai dusara google ka gamil id aur password dalkar.
Agar aapne
pahale kuc security question set kiye hai to unka answer dekar aap mobile ke
pattern ko unlock kar sakate hai.
Aur agar aapko security
question ke answer pata nahi hai to dusara option chun le. Google account ke details
me apna gmail id aur password dale.
Step 4:
Aapne sahi
google id dala hai to aapke mobile ka pattern successfully unlock ho gaya hai
aap ab new pattern dal sakate hai.
2.
Hard Reset (Factory Reset) Method:
Agar aapke pass
Gmail ki id nahi hai to aap ye second method use kar sakate hai. Lekin in
method ka use karane se aapne mobile me jo bhi data hai wo bhi delete ho jata
hai. Jaisa aapne naya mobile kharida tha usi prakar ka mobile aapko hard reset
karane ke baad dikhayi dega.
Hum sub janate
hai ki Andorid ye ek Operating System hai aur sabhi operating system ke liye
booting processing hoti hai. Yahi method isme use ki jati hai.
Lekin ye method
mobile manufacturer par depend hoti hai. Kyon ki jaise computer me boot menu
delete, f12 dabane se open hota hai waise hi mobile banane wali jo companies hai
unone apne mobile ke boot menu ke liye key di hai. Waise to sabhi companies ke
liye common keys hi use hoti hai.
Step 1:
Mobile ko
switch off kare.
Step 2:
Boot menu open
karane ke liye hardware keys ka use karana padata hai.e.g volume keys, home
key, camera key etc.
Yaha pe me Samsung
mobile ko hard reset karane ka method bata raha hu.
Ab apne mobile se
Volume Up Key + Home Key + Power On Key ek sath press karani hai. kuch
5-10 seconds tak ye 3 keys ek sath press kare.
Step 3:
Ab aapke samane
mobile ka Boot menu khul jayega. Volume kyes ka use kare aap upar, niche ja
sakate hai. Ab boot menu me se Factory reset ka option select kare. Aur
uspar jakar ok kare. Ok ke liey home key or power key ka use kare.
Step 4:
Phir aapke
samane kuch option honge wipe data/ delete all data is tarah kuch option honge
unpar click karde.
Step 5:
Data reset hone
me kuch time legega. Data delete ho jane ke baad Reboot System Now pe
click karde.
Aapka mobile successfully
reset ho gaya hai aur aapka pattern bhi unlock ho chukka hai.
3. Bypass
Method:
Ye method
jayada tar use nahi ki jati kyon ki hume iske liye paise pay karane padate hai
sirf aap information purpose ke liye ja le ki bypass method kya hoti hai.
Isme kya hota
hai ek third party aap ka use kiya jata hai jiski help se hum android mobile ka
pattern unlock kar sakate hai but ye jo aap hai wo hume legally purchase karane
padate hai to aapko google play store par mil jayenge.
Computer Ke Jariye Bhi Pattern Unlock kar Sakate Hai:
Agar aapke pass
computer hai to aap uske jariye bhi pattern ko unlock kar sakate hai. Is method
me command ka use kiya jata hai jiski help se pattern ko unlock kiya jata hai.
Computer me
Android SDK name ka software install karana padata hai aur usme aap commands
dalkar pattern unlock kar sakate hai.
Ye hard method
hai isliye jayadatar log iska use nahi karate hai. Agar aapko programming
languages aati hai, command ki understanding hai to aap is method ka bhi use
kar sakate hai.
Is prakar hum
kisi bhi android mobile ke pattern ko unlock kar sakate hai. Maine 2 methods me
bataya ki kaise mobile ka pattern todate hai aur another 2 methods batayi jo
bhi use ki ja sakate hai.
To aapko ye
post kaisi lagi comment me jarur bataye.
Good information
ReplyDeletekeep it up
#Thank's Vikas Ji Aapke Valuable Feedback Ke Liye
Delete