Facebook Se Monthly Unlimited Paise Kaise Kamaye

Facebook se paise kamana bahut hi aasan hai. Aap ghar baithkar facebook se monthly unlimited income kar sakate hai. Facebook se paise kamane ke kaun kaun se tarike available hai aaj hum is post me janenge.

Facebook Se Paise Kamane Ke Tarike

Facebook aaj world ki no 1 ki social networking site hai. Facebook par duniya bhar se traffic aati hai. Aur aaj kayi yese log hai jo facebook se acchi income kar lete hai. Agar aap daily facebook use karate hai, aur aap daily facebook par 4-5 hours lage rahate hai to aap bhi facebook se acchi income kar sakate hai.
Facebook se paise kamane ke liye aapko thodi mehanat karani padati hai.



Mai aapko example ke taur par bata raha hu. Mera ek friend’s hai maine jab uska video news channel pe dekha to mai chauk gaya. Uska interview ek news channel pe dekha ki kaise wo facebook page ke jariye monthly Rs.90000 rupay kama raha hai. Usne ye sab kaise kiya ye mai aapo details me bataunga. Aur uske page ki link bhi aapko bataunga jisse aapko yankin ho jayega.

Yaha par use page ki link hai 12 chya Bhaavaat is page ko total 6,72000 likes hai. Ye din ba din increase hoti ja rahia hai.Ye ek entertainment ka page hai. Is link par jakar aap us admin (Mohit Kolangade) ka video dekh sakate hai. Jo ki abpmaza is news channel ne liya tha. Usme puri details se bataya hai ki kaise wo apne page se Rs.90000 monthly kama raha hai.
Is post ko details se read karane ke bad aap bhi facebook se paise kama sakate hai.
Facebook se paise kamane ke bahut sare tarike hai jaise affiliate marketing, facebook page sell karana , group sell karana etc.



Facebook Se Paise Kaise Kamaye?

Facebook se paise kamane ke liye hume kin chizo ki jarurat padegi.
1. First thing hai aapka facebook account hona chaiye.
2. Facebook page Ya Facebook Group
Aapka facebook account to hoga ab janate hai ki facebook page kaise banate hai. Isse pahale facebook page kya hota hai ye janana jaruri hai.



Facebook Page Kya Hota Hai?

Facebook par hum apna khud ka page bana sakate hai jisme hum apni khud ki post, message share kar sakate hai. Aap kisi bhi chiz ka Facebook page bana sakate hai jaise entertainment ke liye jokes, videos ka , ya phir general knowledge ka ya phir apni khud ke business ka.

1. Firstly aap is link se facebook page par chale jaye
2. Aapko jis chiz me interest hai us category ko select kare. E.g. entertainment


Category Select Kare



3. Usme category select kare. Niche apne page ka name select kare.


Page ko Name de


4. Phir apne page ko cover page, profile picture add karle.
5. Page ki other information fill up karde.

Ab aapka facebook page create ho gaya hai. Agar aapne entertainment ke liye page banaya to usme jokes, comedy videos, post kare.
Apne jo friends hai unko page like karane ke liye invite kare. Aap jitane acchi post apne page pe share karenge utane hi page like jaldi se bad jayenge.
Jab aapke facebook page ko 15000-20000 likes mil jayenge to facebook khud hi aapke page ko dusare logo ko suggest karata hai jisse aapke page like aur jaldi se bad jate hai. Ab man ke chale ke aapke page ko 100000 likes mil gaye.



Facebook Page Se Paise Kaise Kamaye

Affiliated Links
Ab aapke page ko 1 lakh likes mil gaye hai ab aapko kya karana hai kisi affiliate site ko join karana hai example aap apna khud ka flipkart, amazon is site pe account bana de Aur apne links se jo products hai unko apne facebook page me post karde. Ab aapke page ko bahut sare likes hone ke karana unme se kayi log us links se products ko buy kar lete hai. Aur aapko un sites se accha commission mil jata hai.

Others Sites Ko Promote Karana
Maine upar aapko example me bataya ki ek freidns hai jo monthly Rs.90000 kamata hai wo bhi kuch is tarah se hi kamata hai.
Aapko sirf kya karana hai apne page me ek post dalani hai ki is page par aap apni advertisement kar sakate hai. Aur advertisement ki price bhi fix kare.
Aapko kya karana hai facebook page par kisi dusare site ko promote karana hai aur promote karane ke liye aapko links ke anusar paise milenge. Kyon ki aaj internet par kayi yese log hote hai aur unko apna site ka kisi product ka promotion karana hota hai wo yese hi popular page ko find karate hai. Aur aapko visitor ke hissab se paise mil jate hai.




e.g. Ek link ke liye Rs.150 milate hai ek month ke liye. To aap sochiye aapke page ko 1 lakh likes hai unme se kum se kum 1000 hi visitor agar us link par daily chale jaye to aapki income 150000 mil jayenge.
Iske liye aapke page ko jitney likes jayada honge aapki income utni hi jayada hogi.

Page Ko Bechkar:
Agar aap affiliated link ya post selling ke tension sa bachana chahate hai to aap apne facebook page ko bech sakate hai.
Aapko kya karana hai apne page me ye post dalani hai ki aapka page selling ke liye available hai. To aapko iskeliye bahut se kharidaar mil jayenge. Apne page ki tik price lagaye aur usse bech de.
To dosto hum is tarah facebook se paise kama sakate hai. Facebook se paise kamene ke liye aapke pass facebook page, ya group hona bahut hi jaruri hai aur use bahut sare likes bhi hona jaruri hai to aaj hi apna page banakar use promote karana shuru karde.
Agar aapko is post se related koi sawal ho to comment me bata sakate hai.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

11 comments:

  1. Blogmint par signup krke direct ads le sakte h Facebook page ke liye or YouTube,Twitter, blog. Ye 1 achha tarika h kamane ka Blogmint se m achhe offer recieve kr rha hu.

    ReplyDelete
    Replies
    1. #Thank's Pramod Ji aapke Valuable Feedback ke liye. Mai ye jarur try karunga.

      Delete
  2. Sir
    M blogs ads karna chahta hu tu kese kar skta hu plz help me

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Akash ji aapko kya karana chahate jara wo vistar se bataye aapka question hai ki aap blog ad karana chahte hai, lekin kaha add karana chahate hai?

      Delete
  3. @ BRIJ ,

    As a user use kar sakate hai, lekin us page ke admin aap nahi rahenge.

    ReplyDelete
  4. Hello Sir Muje Ek Help Chahiye Meri eK Website Hai www.freehindihelp.com
    Us Me mujhe Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Batao Na.Me Blog me naya hu
    pls help me. Post ke liye best keywords kaise praprt kare.

    ReplyDelete
  5. sir maine facebook page pe 6000 likes bhi kar liye hai
    but mai ads kaha se laaun??

    ReplyDelete
  6. sr mujhe internet se pase kese kanau

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Himanshu,
      Aap blogging, youtube, affiliated marketing inse paise kama sakate hai.

      Delete