BCA Kya Hai- बी.सी.ए क्या है, 12th के बाद BCA. BCA Yane
Bachelor of Computer Application. Ye ek 3 Years ka Graduation Course hai. BCA
Karane ke baad aapke pass bahut se acchi choice hai aage aap MBA, Ya MCA Karke
ek acchi job pa sakate hai.
BCA Kya Hai- बी.सी.ए क्या है, Agar aapko
internet, computer aur information technology me dilchaspi hai to aapko BCA
jarur kare. BCA Kya hota hai, iske liye kya educational criteria chaiye future
me iske liye scope hai kya ye sabhi aaj hum is post me dekhenge.
BCA Course Details:
BCA ka matlab
hai Bachelor of Computer Application. Ye ek 3 years ka graduation course hai jo
har ki lagbag her ek University me available hai. Ye course un logo ke liye hai
jo apna career computer field me banana chahate hai. Aap BCA Karke software
developer, web designer, ban sakate hai. Aur kisi acchi multinational company
me job kar sakate hai.
BCA Karane Ke Liye Kya Qualification
Chahiye:
Agar aap BCA
karana chahate hai to aapke ye malum hona chahiye ki iske liye aapka kya
education hona jaruri hai.
Kisi bhi
university me BCA karane ke liye same hi educational criteria hai.
1. Aap minimum
50% ke sath 12th pass hone chahiye. Iske liye aap kisi bhi faculty
se ho koi pareshani nahi hai.
2. Commerce, Science,
Aur Arts in me se kisi bhi faculty ka student BCA Kar Sakata Hai.
BCA Subjects and Syllabus Details:
BCA ka syllabus
total English Language me hai. BCA totally computer related hai isliye isme
sabhi comuter se related hi subject honge.
BCA ka syllabus
sabhi University me alag alag design kiya gaya hai. Par 90% syllabus same hi
hota hai.
Main Subjects
Computer Basics:
Aapko computer
ke bare me kuch bhi pata nahi hai to aapko yaha se computer se related sabhi
basic sikhane ko mil jate hai. Jaise computer hardware, Microsoft office etc.
Programming Languages:
Programming
languages isme aapko C, C++, VB.NET, C# , JAVA is tarah ki kuch languages
sikhane ko milegi. In languages ki madad se hum operating system, games bana
sakate hai.
Web Designing and Development:
Agar aapko
website banana me interest hai to aap in subjects ko dyan se study kare. Isme
aapko HTML, CSS, Java script, PHP, XML, ASP.NET is tarah ki web designing ke
languages sikhane ko milegi.
Databases:
Aapko isme
databases bhi learn karane ko milate hai. E.g. MySQL, Oracle
BCA Ke Baad Kya Kare (Future Scope):
Bca complete
karane ke bad aapke samane bahut sare option hote hai. Agar aap aage jake aur
padhana chahte hai to aapke liye niche di gayi choice available hai.
1. Aap MBA
(Master of Business Administration) kar sakate hai.
2. MCA (Master
of Computer Application) bhi kar sakte hai.
3. Competitive
exams ki taiyari kar sakate hai.
BCA Ke Baad Jobs and Salary:
Agar aap bca
karane ka bad job karana chahte hai to kar sakate hai.
Agar aapne
admission ek acche college me li hai to waha pe campus interview conduct kiye jate hai jab aap final year me hote
hai tab aap interview face karenge to aapka graduation complete hone se pahale
hi aapke hath me job hogi.
Agar aapke
college me campus interview nahi hote hai to bhi koi baat nahi aap acchi
company me job ke liye try kar sakate hai jaise Wipro, Tech Mahindra, TCS,
Infosys.
-> Software Engineer Kaise Bane
-> Software Engineer Kaise Bane
Ye kuch IT
companies hai to computer graduate ke liye interview conduct karati hai. Jisme
aapko 20000 se 30000 tak salary mil sakat hai.
Agar aapke pass
knowledge hai to phir apni khud ki team banakar aap apni khud ki choti si
software company start kar sakate hai. Jisme aap logo ko software, websites
develope kar ke bech sakate hai.
BCA Se Related Kuch Sawal - Jawab (FAQ’s) :
Aapke man me
abhi bhi kuch sawal honge unme se kuch ke answer me yahi de deta hu.
1. 12th
ke bad mera gap hai kya mai bca ke liye admission le sakata hu?
Ans: Ha le
sakate hai, par aapko uska gap certificate dena padata hai.
2. BCA karane
ke liye fess kitani hogi?
Ans: Ye 3 years
ka course hai aur fees depend karate hai aapki state aur university pe. Kayi
universities 1 saal ke liye 15000, 20000, 25000, leti hai. Aap apne najdiki
university me iske bare me puche.
3. 12th
me mera Math subject nahi tha?
Ans: Math
subject nahi ho to bhi chalega.
4. Admission ke
liye kaun sa college, university acchi rahegi?
Ans: Jis
college, university me placement cell, campus interview conduct kiye jate hai
wahi admission le. Nahi to aapko job ke liye thodi struggle karani padegi.
5. BCA ke
Government college available hai kya?
Ans: Yes. BCA
ke government college available hai aap google pe apni state ke government
colleges search kare.
6. BCA, MCA karane ke bad kya hum Game, Software Bana Sakate hai - Can i create game, software after BCA?
Ans: Ha, Bana sakate hai. Game create karane ke liye C++, VB, Java etc. Programming languages ka istmaal kiya jata hai. Android games banane ke liye mostly Java Language use hoti hai.
7. Kya BCA Hindi me Kar sakate hai ?
Ans: Nahi Ye Sirf English me Available hai.
8. BCA & BCS me kya difference hai?
Ans: In dono ke syllabus me thoda sa difference hota hai, BCA me computer ke sath sath business related bhi kuch subject hote hai, lekin bcs me sirf computer se related hi subject hote hai. BCS ke liye sirf 12th science pass-out admission le sakate hai.
9. Kya BCA ke sath extra coaching ki jarurat hai ?
Ans: Nahi. lekin agar aap iske sath koi programming language ka certification karate hai to acchi baat hai.
10. Mujhe 12th me 50% se kam marks aaye hai. Jaise 44%, 47% etc. to kya mujhe BCA ke liye admission milega.
Ans: Ha jarur private college me admission mil jayega.
11. 10th, 12th Open se kiya hai to kya mujhe admission milega.
Ans: yes
12. Kya BCA Part time me kar sakate hai.
Ans: Agar aapke nazdiki college, university me ye part time me available hai to kar sakate hai.
13.12th me mera math nahi tha to kya BCA kar sakata hu.
Ans: Ha
14. Mera 12th me biology tha, kya mai BCA ke bad MCA kar sakata hu.
Ans : Ha kar sakate hai, kyon ki BCA me aapko statistics name ka subject hota hai.
15.Mujhe MCA karana hai to mai B.sc karu ya BCA?
- BCA
16. BCA karane ke bad google me job kaise milegi?
Ans: Interesting Question Uski puri details yaha hai, Google me job kaise milegi.
17. Iske Notes Kaha pe Milegne?
Ans: BCA, B.C.S Ke Notes, Tutorials
18. Meri English bahut weak hai, to kya mujhe BCA karana chahiye?
Ans: BCA karate samay aapko English par bhi dhyan dena hoga, English dictionary, aur English ke alag se class bhi laga sakate hai. Kyon ki Communication skill bahut jaruri hai.
Note: Agar aapka sawal upar diye gaye sawalo me hai to comment me wo sawal na puche. Aapki comment publish nahi hogi.

To is tarah BCA
Course aap complete kar sakate hai. Agar isse realated aapke kuch question ho
to comment me bataye.
Sir mane 3 year diploma kiya Hua hai...IT se mujhe second year main admission mil jayega
ReplyDelete@Nitin,
DeleteAapko 12th par first year ke liye admission milega.
kya BCA gruation degree hoti hai ?
ReplyDeletejaise hum BA BSC krte hai vaise hi hoti h kya ye
@Sandeep,
DeleteJi ha Ye graduation course hota hai, BCA ke bad aapko Graduation ki degree milati hai.
Sir mujhe second year main college change karna hai toh kya procedure honi chahiye.
ReplyDelete@Nitin,
DeleteAgar aapka first year clear hai to principal ko tc ke liye application kariye.
Sir, Mera BCS complete hua hai 67% se or mujhe maths me interest hai mai CA me admission lena chahti hu to ,mere liye MCA acha hoga ya CA? (mujhe best carrier choice bataiye)
ReplyDelete@Agar, Coding, programming me interest hai to MCA aur accounting me interest hai to CA kar sakate hai.
DeleteMCA KARNE K LIYE BCA KARNA JARURI HAI KYA ?
ReplyDeleteBCOM KARNE K BAD BAHUT SARA GAP PADA HAI TO KYA MAI MCA KAR SAKTA HU KYA ?
@ji ha kar sakate hai.
Deletemisstek my name of the 10th class markseat. so how to admition BCA course
Delete@Hemant,
DeleteKahana kya chahate hai?
Sir Mene 12 pass kr Liya dca bhi kr Liya running BSC 1 year he kya kare
ReplyDelete@bsc pura karjiye uske bad job search kariye.
DeleteSir, kya hum bca krne ke bad upsc ki jo graduation posts jo hoti h unke liye apply kr sakte.
ReplyDeleteKya bca graduation m ata h
@Ha
DeleteBCA ke liye fees kitni Hoti he
ReplyDeleteKYA BCA KARNE KE LIYE KOYI ENTRANCE EXAM BHI HOTA HAI AGAR HA TOH WO KON SI ENTRANCE EXAM HAI
ReplyDelete@Nahi koi entrance exam nahi hoti.
DeleteSir mai 10th baad 12th nahi diploma kar raha hu kya mai diploma baad BCA coarse kar sakta hu
ReplyDelete@Ji ha kar sakate hai.
ReplyDelete10th ke bad kya mai bca kar sakta hu..
ReplyDelete@Mission Prime Minister,
ReplyDelete12th ke bad kar sakate hai.
Sir mera 12th me 47% aya kya my government college me admission le sakte hai
ReplyDeleteSIR,B.C.A Aur M.C.A Ke Complete Hone Ke BaaD Starting Job Salary Kya Ho Skti Hai
ReplyDelete@ BCA Ke bad Salary Depend karati hai,aapke job par aur company par aam taur par aapko 15k,25k,30k tak mil sakti hai.
ReplyDelete