Windows 7, 8 Me Speech Recognition Kya Hota Hai

Windows 7, 8 me kayi yese hidden features hai jo aap abhi tak nahi janate hai. Aaj mai aapko windows 7 ki yesi hi ek trick batane wala hu, wo hai speech recognition. Speech recognition ko kaise start karate hai.

Windows 7,8 Speech Recognition

Speech recognition kya hai ye mai pahale aapko batana chahata hu. Speech recognition ka matlab ye hai ki aap apne awaz (voice) se computer me typing kar sakate hai. Browser me sirf website ka naam bolkar website open kar sakate hai. Windows 7, 8 me ye feature inbuilt diya gaya hai. kisi bhi program ko open, close kar sakate hai. Simple bhasa me kaha jaye to apne voice se aap pura computer handle kar sakate hai.


Speech Recognition Ko Kaise Start Kare:

Step 1:
Speech recognition start karane ke aap directly control panel me jaye -> Ease of Access -> Speech recognition.
Ab aapke samane kuch niche ki tarah image dikhayi degi. Agar aap pc use kar rahe hai to firstly aapko set up microphone pe click kare. Aur microphone ka setup kar le.


Setup Microphone


Agar aap laptop ya tablet use kar rahe hai to microphone setup karane ki jarurat nahi hai.
Note:
Abhi bhi aapki site ya application open nahi ho raha to phir aapko apne computer ko apne awaz me training deni padati hai jisse wo aapko awaz ko easily understand kar sake.



Computer Ko Training De Apni Awaz Understand Karane Ke Liye

Ab aapko phir se control panel me jana hai aur phir ease of access -> uske bad speech recognition me jake aapko train your computer to better understand you pe click kare.


Computer ko Training De


Uske bad aake samane ek window open hogi aur uspe kuch text dikhayi dega us text ki jo line aur usse aapko loudly bolana taki computer aapki awaz understand kar sake. Aapke samane one by one line complete karani hai jab tak aapka computer aapko awaz ko understand na kar le tab tak usse continue kare.
Ab aapka computer train ho chuka hai. Ab jo chaahe application start kar sakate hai.


Ab start speech recognition pe click kare aapke samane niche tarah ek window open ho jayega usme mike ko jo sign hai uspe click kare. Ab aapka speech recognition start ho gaya hai. Aapko jo aaplcation start karana hai wo ab sirf bol de. (English me)


Start Kare Aur Bole


Ab aapko jo bhi application start karane wo sirf aapko bolana hai.
Example:
Program: Agar koi program open karana hai to aapko ye bolana hai. “Open Notepad”, “Open Google chrome”.
Program close karane ke liye aapko ye kahana hai “Close Notepad”.
Agar koi program open karana hai to aap ye bhi try kar sakate hai.
Start -> All Programs -> Google Chrome is tarah bhi aap open kar sakate hai.
Kisi program ko minimize aur maximize karane ke liye ye try kare.
Minimize, maximize.



Kuch Kam Ki Commands Jo Aapko Kam Aayegi:

1. Start (Program Name)
2. Close
3. Scroll Up
4. Scroll Down
5. Minimize
6. Maximize

Ye feature isliye jayada use nahi hota kyon ki India me jayadatar log fluently English nahi bol sakate iske wajah se ye feature use karate samay aapka computer confuse ho jata hai ki aap kya kahana chahate hai, is wajah se India me ye speech recognition ka use jayada nahi hota hai.
Agar aapne isse pahale is feature ka use nahi kiya hai to try karke jarur dekhae ye bahut hi accha aur free feature hai.


Ye post kaise lagi comment me jarur bataye koi problem ho to wo bhi humare sath share kare.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

0 Comments: