Indian Railway Site IRCTC Pe Account Kaise Banaye




Indian railway site IRCTC pe online ticket booking ke liye account kaise banaya jata hai hum is post me janenge. Jiski madad se aap ticket booking, railway enquiry, train schedule bhi jan sakate hai.


IRCTC Site Pe Account Kaise Banaye


Pahale ke jamane me kya hota tha train ka ticket book karane ke liye hume station par jana padata tha. Phir ghanto tak line me khada rahana padata tha, itna sab karane ke bad bhi kabhi ticket milati thi to kabhi nahi is problem ko ab aapko face karane ki koi jarurat nahi hai kyon bharatiya railway sites ne online ticket booking ke suvidha uplabdha kara di hai. Iske liye aapko irctc site par account banana padata hai to chaliye janate hai ki account kaise banaya jata hai.

Account Banane Ke Liye Kin Chijo Ki Jarurat Hogi:

IRCTC Par Account Kaise Banaye?

Step 1:
Sabse pahale yaha se Indian Railway site IRCTC ki site pe chale jaye.




Step 2:
Ab aapko sign up pe click karana hai.

Sign Up Pe Click Kare


Step 3:
Aapke samane ek form open ho jayega. Usme aapko kya kya information baharani hai ye mai aapko batata hu. Maine niche image me jo number diye hai uske hisaab se information fill karate raho.


User ID Dale


1. User ID:
Yaha pe aapko user name dalana hai aur agar check availability pe click karake dekhana hai ki wo user name kisi aur ne to nahi use kiya hai. Agar kiya hai to aapko dusara koi user name lena padega.
2. Password & Confirm Password:
Isme password dale password 8 character se lamba hona chahiye.
3. Security Question:
Agar aap kabhi apna password bhul jayenge to in security question ki help se use forgot kar sakate hai. Yaha se ek sawal select kare aur niche uska answer bhi bhar de.
4. Preferred Language:
Yaha se English ya hindi select kare.



Step 4:
Personal details bharani hai.


Apni Personal details dale
















6. First name, last name fill kare.
7. Gender me male or female select kare.
8. Aapki shadi hui hai ya nahi ye select kare.
9. Apni Date of birth dale
10. Occupation: Isme aap kya kam karate hai ye select kare.
11. Email id dale
12. Mobile Number dale
13. Nationality me India select kare.

Step 5:
 Residential Address


Residential Address dale


14. Apna flat no, block no jo bhi hai wo yaha dale.
15. Country select kare.
16. Apna pin code fill up kare.
17. City select kare
18. Post office select kare.
19. Ghar ka phone number dale.
20. Ab Captcha code me jo image di hai wo jaise ko taise dalni hai capital ko capital aur small letter ko small me.
21. Agar aap indian railway site ke updates apne email pe chahate hai to yes kare. Nahi to no kare.
Submit Registration Form pe click karade.



Step 6:
Agar aapne newsletters ko No kiya hai to ek pop up window khulegi use ok kare.

OK Pe Click Kare


Step 7:
Uske bad aapke email aur number ka popup window open hoga use bhi ok kare.

Ok


Step 8:
Terms and condition ko read kare aur Accept Kare

TOC Accept kare


Step 9:
Ab aapka account open ho gaya hai lekin aapko mobile aur email verified karana padata hai.

Step 10:
Apna email id open kare usme IRCTC ki taraf se mail aaya hoga usme ki link ko open kare.




Step 11:


Mobile , Email verify Kare


Ab aapke samane ye window khul jayegi jisme se aapko verify mobile with OTP pe click karana hai. Aapke mobile me ek code ayega bad me wo code wala dale aapka mobile verified ho jayega.
Same vaise hi verify Email Id with OTP pe click kare email id pe ek OTP aayega use waha dalkar confirm kar de.
Confirm karate hai aapko ye message dikhayi dega.
 Your Account has been verified click here for login
Ab aapka account verified ho gaya hai ab login karake ticket book kar sakate Hai, railway schedule check kar sakate hai,
Ab aapne IRCTC Site pe par account bana liya hoga aur agar nahi to bana le. 

Aur koi dikkat aa rahi ho to comment me jarur bataye.
Previous Post
Next Post

Completed Master Degree in Computer Science.Passionate about Blogging,Make Money and Web-Designing.Best Knowledge of HTML,PHP,.NET,C,C++ and other programming languages. Know More About Me...

Related Posts

8 comments:

  1. Kya irctc acunat kholne ka paisa dena parta hai ya free hai.Plz reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ Bijay,
      Ye bilkul free hota hai, account banane ke liye koi charge nahi lagega.

      Delete
  2. Ji sir Mera koi sa vi password nai chal rahe hai

    ReplyDelete
  3. Replies
    1. @Dharam,
      Phir se try kariye ho jayega. Google chrome ka use kariye. Aur mobile aur email inbox check kariye OTP ke liye.

      Delete
  4. Mera email id Mein OTP nahi Ne raha hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. @Email sahi daliye aur dobara try kariye aajayega.

      Delete